Damadam.pk
Help | Damadam

Damadam help:

Option Tafseel
For Me Apkey 'Follow' karda users ki posts yahan show hoti hain
Images Yahan pe ap Damadam pe share kiye huey mazedar images dekh saktey hain
Text Yahan pe ap Damadam pe share ki hui mazedar text posts dekh saktey hain
Share Yahan se ap Damadam pe koi dilchusp cheez share kar saktey hain
Inbox Yahan se ap apne notifications dekh saktey hain jo Damadam ki posts mein apkey liye aye
Profile Yahan apka intro, apki display pic aur dusri shared posts show hoti hain. Agr apko "likes" mille hain tou woh bhi yahein nazr atey hain

Questions & Answers:

Q) Meri ID kis terhan delete ho sakti hai?
Ans) ID 'delete' nahi ho sakti. Lekin ap apni posts 'hide' kar saktey hain. Apni profile ki 'pic' aur 'intro' ko khatam kar saktey hain. Phir beshak 'log out' kar jaien
Q) Mujhe apna password yad nahi, mein 'login' kaisey karun?
Ans) 'Login' screen pe "Forgot Password" ko press karein. Yahan se apka password recover ho jaye ga
Q) Mujhe apni 'unverified' ID ka password yad nahi, mein 'login' kaisey karun?
Ans) 'Unverified' IDs ka password recover nahi ho sakta. Jab bhi ID banain, 'verify' zarur karein
Q) Mujhe aik user tang kar raha hai. Kya woh ban kia ja sakta hai?
Ans) Sab se pehlay tou aise users ko forun 'block' karein. Aur agr in users ki posts hamari guidelines ke mutabiq nahi hain tou un posts ko 'report' karein. Hamari guidelines neechay di gyi hain

Guidelines:

In se apka account ban ho sakta hai:

  1. Offensive nicknames
  2. Abusive users
  3. Porn images
  4. Mazhabi ta'asub (religious intolerance)
  5. Firqa wariyat (sectarianism)
  6. Apna mobile number post karna
  7. 1-on-1 ya hot chat ki bheek mangna, maslan:
    • "Koi girl baat karey gi?"
    • "Koi boy whatsapp pe aye ga?"
  8. Users ka personal data leak krna, maslan:
    • Kisi ki private baatoon ki screenshot share karna
    • Kisi ka mobile number, email, home address, real images ya deegar data share karna
  9. Jhooti information dena, maslan:
    • "Mein is website ka admin hoon"
    • "Admin ne mobile numbers out kiye"
    • "Ye website band honay wali hai"
  10. Terrorism, maslan:
    • ISIS ya taliban ki himayat
    • Religion ke naam pe qatl-o-gharat ki talqeen

Sangeen khilaf warzi karney waley pe Electronic Crimes Bill (PECB) apply ho sakta hai (details)