Comments on post titled Aatish-e-ishq main jal jaon tujhey is say kiya
Mousam ki tarah badal jaon tujhey is say kiya
Chot khaon ya zakham lagay, ya ahsas-e-ghum mein tarpon
Mein gir jaon ya sanbhal jaon tujhey is say kiya
Mussartaon ko daikh ker bay qarar ho jaon
Ya tofan-e-ghum say behal jaon, tujhey is say kiya
Hansta daikh ker hans paron, rota daikh ker ro paron,
Halat k sanchay mein dhal jaon, tujhey is say kiya
Zararot nahin kisi hamsafar ki mujay ab,
"farhan"
Janib-e-manzil tanha nikal jaon, tujhey is say kiya
ADHORI MUHABBAT.. (updated 56 months ago) | Damadam