"ye hai mai-kada yahāñ riñd haiñ yahāñ sab kā saaqī imaam hai ye haram nahīñ hai ai shaiḳh jī yahāñ pārsā.ī harām hai jo zarā sī pī ke bahak gayā use mai-kade se nikāl do yahāñ tañg-nazar kā guzar nahīñ yahāñ ahl-e-zarf kā kaam hai koī mast hai koī tishna-lab to kisī ke haath meñ jaam hai magar is pe koī kare bhī kyā ye to mai-kade kā nizām hai ye janāb-e-shaiḳh kā falsafa hai ajiib saare jahān se jo vahāñ piyo to halāl hai jo yahāñ piyo to harām hai isī kā.enāt meñ ai 'jigar' koī inqalāb uThegā phir ki buland ho ke bhī aadmī abhī ḳhvāhishoñ kā ġhulām hai" image uploaded on Jan. 28, 2020, 9:48 a.m. | Damadam
Damadam.pk
L  : ye hai mai-kada yahāñ riñd haiñ yahāñ sab kā saaqī imaam hai ye haram - 
More images by Lipstick-remover-007: