Teri nafrat main wo dam nahi jo mita dy meri mohabbat ko. .
Meri chaht ka samander teri soch se bhi gehra hai.. ...
ππππ€π€π₯
π₯#M. H#π₯

Khawabon ki rah guzar main, jazbon k emtehan main...
Hum ji rahe hain loggon! Ek shahr bad guman main... πππ€
π₯#M. H#π₯
Zarort tor deti hai ghoror beniyazi ko...
Na hoti koi majbori to har banda khuda hota... π₯π₯π₯
π₯#M.H#π₯
Khush fehmi hamari thi k apna unhain samjha....
Hum se jo ye kehty thy samjh dar bohat ho.... π€π€π₯
π₯#M.H#π₯
Enwaan Zindagi per bss itna he likh paai...
Bohat kamzor rishte thy, bht mazboot loggon se... πππ€
π₯#M. H#π₯
Tu bara aadmi sone k payale tere...
Kache bartan ki magar apni khanak hoti hai... π₯π₯π₯π₯
π₯#M. H#π₯
Teri kahani sari duniya...
Mera khulasa bss ek tum.. .
πππβ£οΈ
π₯#M.H#π₯


Gehri batain samjhne k lye..
Gehry zakham khane parte hain.. πππ€π€π€
Bari thokrain khane k bad samjh hoye hain..
Ab dill ki baton per dehan nahi dete... πππ€π€
π₯#M.H#π₯
Aansoo bhi Allah ki di hoi bohat bari naimat hai agr aanso na hote to insan jazbat ki shiddat se pagal ho jata... πΊπΊ
π₯ #M.H#π₯
Alfaz ka chanao insan ko bohat rutba ata karta hai..
Khamosh rahe ------ ya phir apne alfaz ko iss kabil banae k wo khamoshi torne k like hon... π₯πΊπΊ
Musafir to bicharte hain rifaqat kab badalti hai..
Mohabbat zinda rehti hai, mohabbat kmm badalti hai..
Tumhe ko chahte hain tum he se payar karte hain..
Ye hai barson ki aadat or aadat kab badalti hai .
ππππ
Jab bhi tujhe bholna chaha to khayal ata hai..
Kabhi dharkan bhi dill se juda hoti hai..
Apni janib main bharaha hath koi, thaam to lon ..
Aisa karne he se toheen e wafa hoti hai.. ππππ
Kuch pata nahhi kahan tak sath dy ye Zindagi..
Kabhi kabhi na umeedi ka samna bhi karna parta hai kabhi kabhi hosle bare buland se lagte hain kabhi kabhi thokar lagne se pehle insan sambhal jate hain or kabhi kabhi ruswayan maar deti hain kabhi kabhi sochain wasse se wasse tar hoti jati hain to kabhi kabhi na samjhi main aise faisle kar jata hai insan k tamam umer dukhon main beet jati hai kabhi kabhi insan jo chahta hai wo ho bhi jata hai..
Lekin insan Khush bhi to kabhi kabhi hota hai.. πππ€π€
Wo masoom si larki..
Nadan si bholi bhali si jo payar se tum se larti thi..
Jo payar se zidd bhi karti thi jo payar se tumhain statati thi...
Or bad main khud pachtati thi chup chup k roya karti thi Q k...
Esi pagal larki k ander bhi ek larki thi phir uss ne apne ander wali larki ko khud he apne hathon mar diya...
Wo larki kitni pagal thi khud he apni Qatil thi... πππππ€
Bhulana bhi agar chahe..
Bhula phir bhi nahi sakte...
Wo beety udass lamhe..
Tursh yadain, talkh rawaye..
K dill per naqash hai wo waqt..
Bhulana bhi agar chahe bhula phir bhi nahi sakte..
Magar itni guzarish hai unhain kehna..
Waqt or halat aik se nahi rehte..
Bhulana bhi agar chahe bhula phir bhi nahi sakte.. ππππ€π€
Mushkilain apna hll sath ly kar ati hain...
Insan ko Allah per bharosa hona chahye .πππππππ
submitted by
uploaded by
profile:
Sorry! Ap apne item ya profile ko report nahi kar saktey, na hi apne ap ko block kar saktey hain