Hamari ankhen hamara zehen hamare hawas e khamsa us chez ki gawahi dete hain jinhe wo mehsos karte hain ankho se dekhte hain..ab jo chez ham ne Dekhi na ho use socha nai ja sakta..misal k tor par Maine kahun "sher" ap k zehen main foran sher ki taswer a jaegi..q k ye malom hai..isi tarhan aik gher e malom hai..main kahun farishta...ap k zehen main tasver nai aygi q k ap ne dekha nai..main kahun jannat..jahannum mezan..ap k zehen main koi tasver nai aygi q k ap k liye ye sab gher e malom hai..yehi waja hai dekhi hoi chez ko taslem karna asan hai..Allah b na zehen main a sakta na chua ja sakta na socha ja sakta..yehi waja hai Allah ne 14 masomen a.s ko bashr ki hidayat k liye bheja..inhone ham se kaha Allah hai..in ki "hai" ko ham tohed mant
Jise ham yadasht kehte hain is ka talluq b zehen se nai rooh se hota hai..q k science k mutabiq aik insani zehen main 12 Arab khalyat hote hain..or insan ka har khalya yahan tak k pori body 7 sal k arse main mukammal tabdel ho jati hai..70 saal main insani body qai martaba mukammal tor par badal chuki hoti hai..jab k 70 sala fard ko purana sab kuch yad hota hai..misal k tor par bacpan main kisi ne sanp dekha..50 sal bad us ki body or khalyat badal gae..ab 50 sal bad wo sanp dekhte hi pehchan jata hai k ye sanp hai..countinu..
Yehi waja hai k ham par hukm ayd hai k roho ko paak kia jae..ebadat b roh karti hai jism nai..jism sirf raqat banata hai uthta bethta hai..asal palezgi roh ki hai..roh pak hogi to ebadat main kamtabi hasil hogi..jism ko to Marne k bad b koi dosra nehla kar paak kar deta hai..lekin jise pak karna tha use ham ne kia hi nai..nabi pak s.a.w.w se pocha gaya mola jism ko mutahrat se pak ho jate hain roho ko kese pak karen ? Sarkaar Mohammad s.a.w.w ne faemaya( hubbe aliun Tahir ul arwah) Ali a.s ki mohabbat roho ko paak karti hai..ibadat us waqt tak qobol nai jab tak rooh paak na ho..yehi waja hai ebadar ki rooh Ali a.s hain...
Wahi ka talluq "amr" se hai..ap tawaja farmaen am tor par koi b amal kia jae us ka taaluq b roh se hota hai..bunyad roh hai..misal k tor par..Maine use mara..yahan mere aza ka zikr nai hai "main" ka hai..main use chorunga nai..ye inteqami sift b roh main hai..Maine songha..yahan song to nak rahi hai lekin zikr "main" ka hai..mere hat mere paun meri kitab mera mobile..jahan lafz e main ya meri lag jae wahan se roh ka talluq shuro ho jata hai..or isi "main" ko Quran nufs kehta hai..isi "main" ko paak parne ka hukm hai..coumtinu..
Wahi q k khalistan rohani masla hai..is ka talluq jism se nai hota..jism or roh k bahimi talkuqat ki bina par jism par asar andaz hoti hai..lekin sirf us condition main jab wahi direct bazarya e qalb bheji jae..qasid k zarye bheji hoi wahi jism par asar andaz nai hiti..misal k tor par hazrat Mosa a.s k pas kohetor par darakht k zarye wahi ati thi..shajar bolta tha ye wahi e bilhijab hai is condition main Mosa a.s k jism par is ka koi gher mamoli asar nai hota tha..q k wahi agar hijab ya qaaid k zarye ho to koi gher mamoli asar nai hota..wahi ka talluq roh se hai..coutunue..
Wahi k ko mosol karne k k liye zrori hai k us banda e khuda main tamam qualitys hun..(1) wo is elahi pegham ko apne pore wajod k sat qobol karne ki salahiyat rakhta ho..(2) us ka zehen itna fasiho baligh ho k us pegham ko apne andar jazb karle(3) itna ameen ho k us amanat main aik hurf ki b khayanat na kare..(4) ilm e qalam main itna fasiho baligh ho k us pegham ko agay pohchane k liye lafz ka mukammal wohi intekhab kare jese hukme ilahi main ho....couninue..
Lughst main "wahi" tez taren ishare ko kehte hain..islsmi talemat k mutabik wahi us ishare ko kaha jata hai jo Allah ki taraf se apne burgizida bande ki taraf kia jae..wahi ki 3 iqsam hain..(1)qalam bazarya e wahi (2) qalam bazaeya e hijab (3)qalam bazarya e qasid..(1) qalam bazarya wahi main Allah direct pegham apne bande q qalb pe bhejta hai jis main darmiyan main koi qasid nai hota....countinu..
Salaam to all momnen...
Moot bohat taqatwar hai mot k panjay se aj tak koi nai Bach saka..mot itni taqatwar hai har jandar pe ghalib ati hai..lekin jitni b takatwar hai moot shaks Marti hai..shaksiyat nai marti..mot shaks ko ati hai shaksiyat ko nai ati..mot Alim ko ati hai..ilm ko nai ati...masom ka farman hai ilm hamara hi nam hai...ilm ko ilm banana wale ham hain.....
Mard e momin malak ul moot ko dekhta hai wo uper ki taraf ishara karta hai..emam ne farmaya jese hi mard e momin apni nigah asmaan ki taraf karta hai ham 14 apne 112 hazar nori hijabat hata kar us mard e momim ko apna didar karwate hain..us k chehre pe aik muskutahat ati hai..wo apne paun ki taraf dekhta hai farishta kehta hai agar to kahe to tuje tere maliko tak chor aun.....bus phir wo hamara dwdar kar leta hai or dunya use andheri lagne lagti hai..phir gulastan e zahra s.a se aik phol laya jata hai us phol main momin ki roh qabz ki jati hai..ye hai momin ka safar...
Sail ne arz ki mola momin ki mot kese ati hai....farmaya jab mohibbe amer ul momenen Ali a.s ki mot ka waqt ata hai..malak ul mot izn lene hamare Jud k pas jata hai..mola farmate hain khulat e fakhra pehen khushbo laga or aik ache rop main hamare dost se mine ja..jab malak ul moot marde momin k pas pohanchta hai wo marde momin k paun k pas khara hota hai mard e momin use dekhta hai countinu..
Sail ne arz ki mola mot kese ati hai? Farmaya aik barek kapra le khardar kanto par rakh k khench le jo halat us kapre ki hogi wohi halat mot k waqt jism or rooh ki hogi...sail k chehra zard ho gaya emam ne us se pocha kia hua? Us ne arz ki mola itna khofnak tasawor..emam ne muskura k farmaya tone insan ki mot pochi hai..momin ki nai...countunu..
Sail ne arz ki mola moot kia hai? Masom ne farmaya jab koi dunya main ata hai kia karta hai? Sail ne kaha mola jo b ata hai rota hua ata hai..emam ne farmaya yahan ane se pehle to shakme madar main tha..Teri qul kinat wo shakm e madar thi..to samajta tha yehi qul kinat hai..jab tuje is dunya main laya gaya to Roya..tone samjha main mar raha hun jab k to yahan zinda ho raha tha..to muntaqli ko mot samaj k ro raha tha or tere ghar wale yahan khush ho rahay the..emam ne farmaya isi tarhab us jahan k agay ye dunya shakme madar se b kamtar hai..
Inteqal k mayne hain muntaqil k or mot aik alam se dosre alam ki taraf muntikil hone ka aik marhala hai..mosom se pocha gaya mola zindgi kia hai? Mola ne farmaya pehle to bata to zindgi kis ko samajta hai? Sail ne arz ki mola sans Lena zindgi hai...emam ne farmaya ye sans Lena zindgi nai zrorat e zindgi hai...countinu..
Moot hamare liye aik ibrat hai har insan se jure qai log hote hain jo rishto main munsalik hote hain or unhi rishto ki qurbat ki waja se unse mohabbat itni ho jati hai k ham baz oqat khud se b zada unhe azez karte hain..Lekin mot aik aisa amal hai jo aik fard ko lejati hai baqiyo k liye sabaq chor jati hai..is dunya main koi aisa ghar nai jise malak ul moot ne na rulaya ho...jis jandar ne dunya main akar sans leli ye te ho chuka k use Jana hai..countinu..
Ab Zara tawajo kijye aik shaks jo ghafil soya hua ho mosam garm ho jae or fen chala dia jae..kia wo uth jaega? Bilkul nai..isi tarhan agar sard mosam ho or use chadar urha di jae wo sota rahega.jab tak k tab tak us k nufs ko taklef na ho..jese hi nufs taklef main ayga us main bedari shuro ho jaegi..yehi waja hai Mohammad o aal e Mohammad a.s ne bashryat k nufs ko bedari k liye tamam takalef bardasht ken ta k dil main tarap peda ho or nufs jage or tohed ki taraf raghbat ho..countinu..
"Mot ka yaqen"*........ab Zara is bat par ghor Karen k ham roz logo ko marte hue dekhte hain mayat ko hat lagate hain kafor ki bo songte hain mayat ka khana khate hain hamare hawas e khamsa ko ahsas ho chuka hota hai..or ye b har nufs janta hai k mot k liye koi umr moyen nai hai ye kisi ki age main kisi b lamhe a sakti hai..qai maqamat par qutan ne moot ka tasawor dete hue kashti main sawar hone ki misal dekar kefyat e mufs ko mot ki taraf raghbat dilai hai..lekin phir b nufs e ammara mot ki taraf us dili kefyat se raghib nai hota....agar ho jae to insan k dil main mot ka tasawor peda ho or wo Allah ki taraf raghib ho jae...ab Zara sochen wo khuda wo hai jo hamare hawas e khamsa par b zahir nai hota.us ki taraf kese raghib hua jae..countinu
Tohi karam hai tohi Kareem or tohi azam tohi azeem...tohi ayat tohi nemat tohi sirat ul Mustaqeem..Mumba o qibla o qaba ho..jalla jalala Shana ho...
Salaam....ya Ali a.s madad..
submitted by
uploaded by
profile:
Sorry! Ap apne item ya profile ko report nahi kar saktey, na hi apne ap ko block kar saktey hain