maiñ huuñ tirā ḳhayāl hai aur chāñd-rāt hai dil dard se niDhāl hai aur chāñd-rāt hai āñkhoñ meñ chubh ga.iiñ tirī yādoñ kī kirchiyāñ kāñdhoñ pe ġham kī shaal hai aur chāñd-rāt hai dil toḌ ke ḳhamosh nazāroñ kā kyā milā shabnam kā ye savāl hai aur chāñd-rāt hai phir titliyāñ sī uḌne lagīñ dasht-e-ḳhvāb meñ phir ḳhvāhish-e-visāl hai aur chāñd-rāt hai campus kī nahr par hai tirā haath haath meñ mausam bhī lā-zavāl hai aur chāñd-rāt hai har ik kalī ne oḌh liyā mātamī libās har phuul par malāl hai aur chāñd-rāt hai merī to por por meñ ḳhushbū sī bas ga.ī us par tirā ḳhayāl hai aur chāñd-rāt hai chhalkā sā paḌ rahā hai 'vasī' vahshatoñ kā rañg har chiiz pe zavāl hai aur chāñd-rāt hai