Na Zameen Hai Meri Qarar Gah, Na Falak Hai Manzal-e Jazb e Dil Bari Dair Se Hai Safar Mera, Teri Yaad Se Teri Yaad Tak
Wo To Soraj Ne Meharbani Ki Din Bhala Mujh Se Kab Guzarta Tha
Tum Meri Taraf Dekhna Choro Tu Bataon Har Shakhs Tumhari Hi Taraf Dekh Raha Hai
Mohabat Karne Walon Ki Tajarat Bhi Anokhi Hai Manafa Chor Dete Hain Khasaray Baant Lete Hain
Aks o aaina main ab rabt ho kya tere baad Ham tu phirty hain khud apnay se khafa tere baad
Kia janay kia likha tha usay iztarab main Qasad ki lash ayi hai khat ke jawab main
Dil ki manzil us taraf hai ghar ka rasta is taraf Aik chehra us taraf hai aik chehra is taraf
Kis Liye Mohsin Kisi Be Muhar Ko Apna Kahon Dil Ke Sheshy Ko Kisi Pathar Se Kyun Takraon Main
Tumhein Kya Weham Hay Kiun Raat Bhar Milnay Nahi Aatin Aey Meri Neend Ki Pariyoon, Main Uss Ko Bhool Kar Khush Hoon
Masoom mohbbat ka itna sa fasana ha kaghaz ki hawely ha aur barish ko bhi ana ha kya shrty muhbbat ha kya sharty zamana ha awaz bhe zakhme ha aur geet bhe gana ha ye ISHAQ nahe aasaan bus itna samajh lejye ik agg ka darya ha aur doob k jana ha..