har baar mere sāmne aatī rahī ho tum har baar tum se mil ke bichhaḌtā rahā huuñ maiñ tum kaun ho ye ḳhud bhī nahīñ jāntī ho tum maiñ kaun huuñ ye ḳhud bhī nahīñ jāntā huuñ maiñ tum mujh ko jaan kar hī paḌī ho azaab meñ aur is tarah ḳhud apnī sazā ban gayā huuñ maiñ tum jis zamīn par ho maiñ us kā ḳhudā nahīñ pas sar-ba-sar aziyyat o āzār hī raho bezār ho ga.ī ho bahut zindagī se tum jab bas meñ kuchh nahīñ hai to bezār hī raho tum ko yahāñ ke saaya o partav se kyā ġharaz tum apne haq meñ biich kī dīvār hī raho