terā chup rahnā mire zehn meñ kyā baiTh gayā itnī āvāzeñ tujhe diiñ ki galā baiTh gayā yuuñ nahīñ hai ki faqat maiñ hī use chāhtā huuñ jo bhī us peḌ kī chhāñv meñ gayā baiTh gayā itnā mīThā thā vo ġhusse bharā lahja mat pūchh us ne jis jis ko bhī jaane kā kahā baiTh gayā apnā laḌnā bhī mohabbat hai tumheñ ilm nahīñ chīḳhtī tum rahī aur merā galā baiTh gayā us kī marzī vo jise paas biThā le apne is pe kyā laḌnā fulāñ merī jagah baiTh gayā baat dariyāoñ kī sūraj kī na terī hai yahāñ do qadam jo bhī mire saath chalā baiTh gayā bazm-e-jānāñ meñ nashisteñ nahīñ hotīñ maḳhsūs jo bhī ik baar jahāñ baiTh gayā baiTh gayā
جب ہم کِسی اِنسان سے جُڑتے ہیں تو پھر اپنے اندر اُس کے لِیے اک خاص جگہ بنا لیتے ہیں ، جب کوئی خاص ہونے لگتا ہے تو ہماری بہت سی چیزیں خود بخود اُن کی ہو جاتی ہیں ، ہمارا نام ، ہمارا وقت ، ہماری پسند اور ہمارا رنگ بنا بولے سب اُن کا ہو جاتا ہے ، کِسی کو بتائے بغیر اُس ایک شخص کے سحر میں اِتنا دور نِکل جاتے ہیں کہ ؛ خود کو بھی اندازہ نہیں ہوتا کہ ؛ واپسی کِتنی اذیت ناک ہوسکتی ہے ، اور پھر ایسے میں اگر وہ شخص اچانک پیروں کے نیچے سے زمین کھینچ لے تو پھر پیچھے رہ ہی کیا جاتا ہے،