*AQWAAL -e- ZARRIÑ
14 Ramzan-ul-Mubarak,1441 Hijri
08 May, Friday, 2020.
*🌴•┄┅┅❂❀﷽❀❂┅┅┈•🌴*
*FAJAR KI BAAT...*
*Irshad-e-Nabavi
Koi mukarrab farishta, koi aasmaan, koi zameen, koi hawa, koi pahaad, koi samander aisa nahi jo jume ke din se na darta ho (isliye ki jume ke din hi qayamat kaayam hogi).
*Hazrat Muhammad (ﷺ)*
IBN-e-MAAJAH 1084.
Sirf 5 Minute ka Madarsa.
Warq 218.
*JUMA KAREEM.*
*AQWAAL -e- ZARRIÑ
10 Ramzan-ul-Mubarak,1441 Hijri.
04 May, Monday, 2020.
*🌴•┄┅┅❂❀﷽❀❂┅┅┈•🌴*
*FAJAR KI BAAT...*
*Irshad-e-Nabavi
Jab tum kisi ko koi cheez wazan karke do, to jhukta hua tolo.
*Hazrat Muhammad (ﷺ)*
IBN-e-MAAJAH 2222.
Sirf 5 Minute ka Madarsa.
Warq 742.
*RAMZAN KAREEM.*
*AQWAAL -e- ZARRIÑ
09 Ramzan-ul-Mubarak, 1441 Hijri.
03 May, Sunday, 2020.
*🌴•┄┅┅❂❀﷽❀❂┅┅┈•🌴*
*ZOHAR KI BAAT...*
*Irshad-e-Nabavi
2 cheezoñ ko aadam ki aulaad bura samajhti hai. Ek to maut ko (bura samajhti hai) haalaañki maut momin ke liye fitna (me mubtila hone se) behter hai. Doosre maal ki kami ko (bura samajhti hai), haalaañki maal ki kami hisaab me kami ka sabab hai.
*Hazrat Muhammad (ﷺ)*
MASNAD AHMED 23113.
Sirf 5 Minute ka Madarsa.
Warq 72.
*RAMZAN SAEED.*
*AQWAAL -e- ZARRIÑ
09 Ramzan-ul-Mubarak, 1441 Hijri.
03 May, Sunday, 2020.
*🌴•┄┅┅❂❀﷽❀❂┅┅┈•🌴*
*FAJAR KI BAAT...*
*Irshad-e-Nabavi
Janaaze ko jaldi le jao. Agar marne wala nek hai to usko khair ki taraf jaldi pahuñchao aur agar woh bad hai to usko jaldi apni gardan se utaar pheñko.
*Hazrat Muhammad (ﷺ)*
BUKHARI 1315.
Sirf 5 Minute ka Madarsa.
Warq 122.
*RAMZAN SAEED.*
*AQWAAL -e- ZARRIÑ
08 Ramzan-ul-Mubarak, 1441 Hijri.
02 May, Saturday, 2020.
*🌴•┄┅┅❂❀﷽❀❂┅┅┈•🌴*
*ZOHAR KI BAAT...*
*Irshad-e-Nabavi
Us zaat ki kasam jiske kabze me Muhammad ki jaan hai, agar koi shakhs Allah ki raah me maara gaya phir kuchh der zinda raha aur karz na utara, to jannat me daakhil nahi hoga jabtak ki apna karza na utaare.
*Hazrat Muhammad (ﷺ)*
MUSTADARK HAAKIM 2212.
Sirf 5 Minute ka Madarsa.
Warq 80.
*RAMZAN MUBARAK.*
:دوست ایک کتاب کی طرح ھوتاہے
وہ کتنی ھی پرانی ہوجاۓ
پر اس کے الفاظ نہیں بدلتے
کبھی یاد آۓ تو ورق پلٹ کر دیکھنا..
ھم کل جیسے تھے
آج بھی ویسے ھیں.
ASSALAMOALAIKUM DMDM
submitted by
uploaded by
profile:
Sorry! Ap apne item ya profile ko report nahi kar saktey, na hi apne ap ko block kar saktey hain