vo ek shaḳhs ki jo āftāb jaisā hai qarīb aa.e to taaza gulāb jaisā hai ḳhudā kare ki kabhī bhī na TūTne paa.e ye terā merā milan ek ḳhvāb jaisā hai zarā bhī tez havā ho to kaañp uThtā hai vo ḳhush-jamāl to shāḳh-e-gulāb jaisā hai kuchh aise lagtā hai jaise guzar ga.iiñ sadiyāñ tirī judā.ī kā mausam azaab jaisā hai samay ke tez bagūloñ kī zad meñ Thahrā huuñ mire vajūd kā dariyā habāb jaisā hai tirī jabīñ pe ibārat hai dīn-e-ishq 'malik` tirā vajūd muqaddas kitāb jaisā hai