Aankh Kambkhat Se Is Bazam Mein Aansu Na Ruka.
Aik Qatrey Ne Daboya Muje Darya Ho Kar.
Badla Hoya Hai Aaj Mere Aansuon Ka Rang.
Kya Dil Ke Zakhm Ka Koi Tanka Udhar Gaya.
Methi Methi Cher Kar Batain Nirali Pyar Ki.
Zikr Dushman Ka Wo Baton Mein Urana Yaad Hai.
Dekhna Mujh Ko Jo Bargishta Tu So So Naaz Se.
Jab Mana Leta Tu Phir Khud Roth Jana Yaad Hai.
Chori Chori Ham Se Tum Aa Kar Milay Thay Jis Jagah.
Mudaten Guzri Par Ab Tak Wo Thikana Yaad Hai.
Shoq Mein Mehndi Ke Wo Be Dast-O Pa Hona Tera.
Aur Mera Wo Cherna Wo Gud-Gudana Yaad Hai.
Ghair Ki Nazron Se Back Kar Sab Ki Marzi Ke Khilaf.
Wo Tera Chori Chupe Raaton Ko Aana Yaad Hai.
Aa Gya Gr Wasal Shab Bhi Kahen Zikr Firaq.
Wo Tera Ro Ro Ke Mujh Ko Bhi Rulana Yaad Hai.
Dhopar Ki Dhop Mein Mere Bulane Ke Liye.
Wo Tera Kothe Pe Nange Paon Aana Yaad Hai.
Aaj Tak Nazron Mein Hai Wo Suhbar Raaz-O Niyaz.
Apna Jana Yaad Hai Tera Bulana Yaad Hai.
Khech Lena Wo Mere Parde Ka Kona Dafa’tan.
Aur Dupatte Se Tera Wo Munh Chupana Yaad Hai.
Jaan Kar Sota Tuje Wo Qasad Pabosi Mera.
Aur Tera Thukra Ke Sar Wo Muskrana Yaad Hai.
Tuj Ko Jab Tanha Kabi Pana Tu Azrah-E Lihaz.
Hal-E Dil Baton Hi Baton Mein Jitana Yaad Hai.
Jab Sawa Mere Tumhara Koi Dewana Na Tha.
Sach Kaho Kuch Tum Ko Bhi Wo Karkhana Yaad Hai.
Chupke Chupke Raat Din Aansu Bahana Yaad Hai.
Ham Ko Ab Tak Aasqhi Ka Wo Zamana Yaad Hai.
Ba-Hazaran Iztarab O Sad Harazan Ishtiaq.
Tujh Se Wo Pehle Pehl Dil Ka Lagana Yaad Hai.
Bar Bar Uthna Usi Janab Nigah-E Shoq Ka.
Aur Tera Ghurge Se Wo Aankhein Lgana Yaad Hai.
Tujh Se Milte Hai Wo Be Bak Ho Jana Mera.
Aur Tera Danton Mein Wo Ungli Dabana Yaad Hai.
Jab Hoya Zikar Zamane Mein Mohabat Ka Shehzad
Mjuh Ko Apne Dil-E Nakam Pe Rona Aya
Wo Tu Aesi Thi Ke Ik Aansu Girne Ki Bi Waja Pocha Karti Thi
Par Na Jane Kun Ab Usey Barsat Ki Pehchan Nahi Hoti
Muskarate Hoye Milta Hun Kisi Se Jo Shehzad
Saaf Pehchan Liya Jata Hun Roya Hoya Main
Boring alone life
Dard Hota Nahi Duniya Ko Batane Ke Liye
Har Koi Rota Nahi Aansu Bahane Ke Liye,
Ruthne Ka Maza Toh Tab Hai
Jab Koi Apna Ho Manane Ke Liye
Yun Hee Pyar Mein Rota Nahi Koi,
Jissey Hadh Se Zyada Chaho Woh Rulata Zarur Hai
Muhammad_Shehzad_Masroor
: Dard Dard Ki Hadh Mein Rahe Toh Hee Ache Hai, Hadh Se Barh Jaye Toh Insaan -Rone De Tu Aaj Hum Ko, Tu Aankhen Sujane De
Baahon Mein Le Le Aur Khud Ko Bheeg Jaane De,
Hai Jo Seene Mein Qaid Dariya Woh Choot Jayega
Hai Itna Dard Ke Tera Daaman Bheeg Jayega
نہ کر گلہ کسی سے اے دوست کے بدل گئے ہو
وقت اور انسان کا فطرت ایک جیسا ہے
.کہیں دیکھومیرے ہاتھوں کی لکیروں میں
.کیا لکھا ہے وہ آئے گا میری تعبیروں میں
.خاموش لب اور ٹھرتی سانسیں کہتی ہیں
.ہم ہیں بندھے تنہائی کی زنجیروں میں
.پھر میں اُسی سمت لوٹ چلا ھوں
.اُجڑ کے تیرے شہر سے بھت دور چلا ھوں
.تیرے ملنے کی خواھش دم توڑ چُکی ھے
.اب تو خھواھشوں سے ھی ناطا توڑ چلا ھوں
submitted by
uploaded by
profile:
Sorry! Ap apne item ya profile ko report nahi kar saktey, na hi apne ap ko block kar saktey hain