Wo mohabat bi teri thi ' wo shrarat bi teri thi
Agar kuch bewafaiy thi to wo bewafaiy bi teri thi
Hum ne chorh diya tera sheher to wo hadayat bi teri thi
Akhir karte to kis sey krtey teri shakayat
Wo sheher bi tera tha
Wo adalat bi teri thi.
O raba ye judaiy mili hai ruswaiy
Tera jhuta mutha gussa mujey lgta tha sacha har orh tera hi gumaan
Thuje tujsey churaya tujey apna bnaya tu ho na ska mera ...
Masla hun to yun nazrein na churao mujsey
Apni chahat se tawajo se hal ker do
Manta hi nhi dil tuje bhoolney ko
Hum haath jorhtey hain
Aor wo paon parh jafa hai.
Wo log bhot khushqismat they jo ishq ko kaam samajtey they ya kaam se aashqi rakhtey they
Hum jeetey jee masroof rehe kuch ishq kiya kuch kaam kiya
Kaam ishq ke aarhey aat rha aor ishq se kaam ulajhta raha
Phr aakhir mein tang aa kr dono ko adhoora chorh diya ...
Badla wafa ka dein gey barhi sadgi se hum
Tum hum sey rooth gey to idhar zindagi se hum.
Tuje kho diya hum ne paney ke baad
Teri yaad aiy tere janey ke baad.
Koi kaamil peer faqeer daso jirha dil de nal dua dewey
Mayus han mein keiy arsey ton mere rondey nein hansa dewey
Mohabat karney waley km na hongey teri mehfil mein magar ham na hongey
Zakham pehley na mitey aake aor dete hain
Mano jin ko sahara wo hi chorh dete hain
Nhi samjha tu mere dil ko nhi pyar samaj tujey aaya
Tha jitna chaha tuj ko utna hi tuney rulaya
Hum ne to ki thi dil sey wafa per tuney keisa silah hai diya ni krna dil ne dubara bharosa pyar tera
Bharosa yaar tera.
Phr se khush fehmiein daal ke chaley gey
Kya jatey huwey muskarana zaruri tha???
Us ne kaha shayad ye hi qismat mein likha tha
Bicharhney waley ne sara malba khuda per daal diya
Kaash koi apna ho aaeney jeisa
Jo hanse bi sath aor roey bi sath.
I miss u itna ' U miss me jitna
I miss u tabsey ' U miss me jab sey
I miss u tabtak ' U miss me jabtak
U miss me janey kabtak
But imiss u martey damtak.
Mohabat sikha ke juda ho gey na socha na samja khafa ho gey
Zindagi mein hum kis ko apna kehein jo apney they wo hi bewafa ho gey

Na kar mohabat pardesi se in ka thikana door hota hai
Ye bewafa to nhi hotey magar inhein jana zaroor hota hai.
(* NMU-55 *)
Chaha to bhot tha magar izhar krna na aya
Kat gaiy umer humein pyar krna na aya
Mangi bi to us ne judaiy mangi
Hum they ke inkar krna na aya.
Ham ko un se hai wafa ki umeed
Jo ni jantey wafa kya hai.
submitted by
uploaded by
profile:
Sorry! Ap apne item ya profile ko report nahi kar saktey, na hi apne ap ko block kar saktey hain