ππππππ Juda Huway Hain To Kia Hua Hay Magar Yeh Dastoor E Zindgi Hay Judaiyon Main Na Qurbaton Ka Malaal Ho Ga Yeh Tay Hua Tha Chalo K Faizan Kashtiyon Ko Jala Dain Gumnaam Sahilon Par K Ab Yahan Say Na Wapsi Ka Sawaal Ho Ga Yeh Tay Hua Tha πππ
Muhabbaton Main Har Ik Lamha Wassal Ho Ga Yeh Tay Hua Tha Bichar K B Aik Dosreay Ka Khiyal Ho Ga Yeh Tay Hua Tha Wohi Hua Na Badaltay Mosam Main, Tum Nay Hum Ko Bhula Dia Hay Koi Bhi Rut Ho Na Chahaton Ko Zawaal Ho Ga Yeh Tay Hua Tha Yeh Kia K Sansaain Ukhar Gai Hain Safar K Aagaz Hi Main Yaro Koi Bhi Thak Kar Na Rastay Main Nidhaal Ho Ga Yeh Tay Hua thaa πππ₯Ίπ