phelu mein agar nhi hein tu kya hua,,Rehty hein Kuch log dua,on mein Umar Bhar 💖
Q ik dua mein atak gya ta dil ,,Q tery siwa Kuch or manga nhi jata
Aj dil Kuch yoon udas ha naz,,Jesy tanha kashti ki samandar mein sham ho jae
Tum ho bahgat mein uhrti hui titli ki misal,,Mein wo bacha hu Jo tahaqub mein lga rehta ha
Waqif hi na ta ramz.e.muhabat se wo warna,,Dil k leye thori si aanayt hi bht ti
Haye wo bolti hui ankhein,,unko sunta hua Kam bakth ye dil
Zara si dair mein utry ga jab khumar.e.jahan,,us ak shaks ne be had pukarna ha mjy