Damadam.pk
Salar.33's posts | Damadam

Salar.33's posts:

Salar.33
 

Or apna munh us k kan k qareeb ly gya..wo ab us se srgoshi main batain kr rha tha..Sshhh khamosh ho j@o hoor koi tumhain kuch nhi kahy ga main yhien hun..wo ahesta ahesta normal hony lgi..neend main bhi wo is anjan shkhs ki tabie ho rhi thi..jb wo dobara neend ki wadiyun main kho gai to haad apni ungli is k zkhm tk ly gya..haad k lms or hoorain k zkhm main boht km fasla tha lekin wo usy bina choye uska ubhra hua nishan trace krny lga...usy achank hi kisi ko mujodgi ka ehsah hua jb wo uth beth...

Salar.33
 

Drwazy se hoti chand ki roshni us ko roshan kr rhi thi..wo andhery main us ki trf brhny lga..jaisy pryun ki kahani main koi shahzada apni shahzadi k liye brhta hai mgr wo shehzada nhi tha wo to beast tha jis ne beauty ko apna qaidi bna lia tha..wo us k ain samny khra tha jb wo neend main rony lgi..khud ba khud us k brhty paoun usy hoorain k qareeb ly ay...ab wo is pe jhuka uski be vhaini ki wja janna chahta tha..us k baal tkye pe bikhry huy thy or wo ús ka chehra dekh rha tha..us k chehry pe purana zkhm ka nishan tha..or wo is zkhm k nishan ka zriya smjh chuka tha..wo uay ba ghor dekhny lga..us k bazo bhi us trah k nishanun se bhri thi..wo kisi k zulm ka shikar rhi thi..hoorain ab roty roty brbrany lgi thi..jb wo is pe mzeed jhuk gya..

S  : Novel...Tu hi tu.61 - 
S  : Novel...Tu hi tu.60 - 
S  : Novel...Tu hi tu.59 - 
S  : Novel...Tu hi tu.58 - 
Salar.33
 

Kuch gaurds thy jin se wo ba asani bachta beroni dewar se chlang lgaty huy andr utr gya....maria main subah brakfast pe aa jaoun ga..wo kuch or kehti is se pehly us ne call kat di..us k kam ki nieyt or security ki wja se wo maria ko alg ghr main rkhta tha..waisy bhi usy apni privacy azeez thi....wo janta tha hoorain ka kmra kon sa hai haad k log usy ba khbr rkhty thy..wo us k kmry k bahr bni balcony pe charh gya..sheshy se bna drwaza lock tha..lekin aik hi nzr m@in wo smjh gya k wo hifazt km or khubsoorti zyada muhya krta hai..sahi taqt or technique ka istmal kr k wo aik hi jhtky main lock tor k andr dakhil hua..d@khil hoty hi gulab ki khushbo us k ausan pe chaie..or phir us k samny bed pe soi lrki...

S  : Novel...Tu hi tu.57 - 
S  : Novel...Tu hi tu.56 - 
S  : Novel...Tu hi tu.55 - 
Salar.33
 

Dasht E Zulmat
Ep:2
Wo us se muhabbt krta hai or ye usy saf taur pr dikhaie diya tha
******
Wo is wqt sunsan sark pe tha hr so khamoshi thi is wqt wo rihaieshi ilaqun main tha..yahan rat k wqt hr koi dubq k beth jata tha jaisy char dewarain unain unki buri qismt se bcha lain gi..wo gari se utrny lga jb uska phone bja..phone uthaty hi muqabil bolny lga..tum ne wada kia tha aj mery sath dinner krny ka or ab rat ka 1 bj rha hai..maria ki awaz main narazgi wazih thi..main masroof tha..car se niklty huy kehny lga us k samny murtza sahb ka bngla tha..mujhe lga tum bhool gaye..tum janti ho main kuch nhi bholta..bngly ki security wo pehly hi check kr chuka tha or wahan k camery pehly hi aihtsham hack kr chuka tha..wahan koi alarm system nhi tha

S  : Novel...Tu hi tu.54 - 
Salar.33
 

Dasht E Zulmaat...Episode No.1 Complete

S  : Novel...Tu hi tu.53 - 
Salar.33
 

Aik bar aik lrki ne us pe kuch gira k uska bazo tor dia tha lekin wo kbhi kuch nhi kehti thi han albta ishaal k bad is main kafi kami ai thi..ishaal ka us se kya taluq?..us k tasurat main koi tabdeeli nhi ai aihtsham bhi nhi jan pata tha k wo kya soch rha hai...wo aksr is k liye stand leti thi..aik bar kuch students us pe hmla krny waly thy jb wo un se lr pari or un main hathapai shuru ho gai wo uski wahid dost thi lekin in donun main se koi aik dosry ki personal life k bary main nhi janta tha.....kya tumhain yaqéen hai wo kuch nhi janti..haad ne dubara pocha..han mujhe mukml yaqeen hai..thek hai tum ja skty ho..rubat k jaty hi aihtsham ne apni bat kahi thi..to tumhara shk ghlt nikla wo kuch nhi janti or had ne iski bat nzrandaz kr di

Salar.33
 

Agr sach kahun to wo boht ajeeb hai usy smjhna mushkil hai...ajeeb log hi sb se zyada dilchasp hoty hain..haad ne apna antique lighter sulgaty huy kaha....yaqeenan wo aj achy mood main tha wrna wrna us k swal pe sb toty ki trah bolty thy Inhi main unki aafiyt thi...wo khud main hi rehti hai us se pehchan bnana mushkil hai..wo shayd bimar hai?...bimar??..han wo kisi ko apne qareeb nhi any deti agr koi ghlti se usy chuh ly to cheekhny lgti hai or phir be hosh ho jati hai..wo boht darpok hai...agr is bat se rubat uski dilchaspi khtm krna chaht tha to wo buri trah nakam rha tha..aihtsham bhi ye sun k thatka..mgr rubat @pni hi ley main bol rha tha..kai bar uni main kuch students ne us k sath boht ghlt kia..kabhi wo jl jati kbhi gira di jati

Salar.33
 

Sara karachi haad k isharun pe nachta tha..choti choti gangs ka to wo kb ka safaya kr chuka tha..rubat us shkhs k samny khra tha jis ne apna pehla qatl sir 12 saal ki umr main kiya tha or ab to yaqeenan unki tadad bhi kisi ko maloom nhi ho gi
Mujhe pta hai k tum bar ha ye keh chuky ho k ishaal ne us lrki se kbhi nazir shah k kam ka zikr nhi kia wo is sb se anjan hai lekin main zati taur pe tum se ye sb janna chahta hun..han jaisa k maine pehly bhi btaya k wo kuch nhi janti..rubat apna gla saf kr k kehny lga....haad ki nazrain aisi thien k wo kisi k bhi jhoot ko for@n bhanp jata tha or rubat kuch bhi jhoot keh k khud ko ya hoorain ko mushkil main nhi salna chaht tha...wo lrki kis qism ki hai?..haad ki tafteesh abhi khtm nhi hui thi

S  : Novel...Tu hi tu.52 - 
Salar.33
 

Dasht E Zulmat
Ep:1
Us ka plan tyar tha log tyar thy kb kahan kaisy hmla krna tha hr chez tyar thi...wo or aihtsham aik bar phir sb dohra rhy thy jb usy khbr di gai k rubat us se milny aya hai wo ús lrki k sath jaisy hi karachi pohaancha tha haad ne usy hazir hony ka hukm zadir kr dia tha...aihtsham apne bhai ka naam sun k seedha khra ho gya..rubat jaisy hi andr aya uski nzr haad or pri usy dekh kr hamesha ki tarah us k rongty khry ho gaye..us ka dimagh kb ghoom jaye kuch pta nhi tha..wo pehly apne bhai se mila or phir haad ki trf barha rubat apni peshani pe aye paseeny k nanhy katry mehsoos kr rha tha or wo apni kaifiyt haad se chah kr bhi nhi chupa paya na jany uska bhai is k sath kaisy rehta tha rubat us k desk k samny khra tha...

S  : Novel...Tu hi tu.51 -