Tu likhe dard, tou main aage behisaab likhu Tu likhe sham, main gam, gilley aur sharab likhu Tu guzara zamaana lage, main tujhpe kitab likhu Riyazi kamjhor meri, duniya ghadbadi karti hisab mein kyu? Khuli kitab bhi hu, rehta hu khud mein ek raaz sa kyu?
Kya aasan thi maut? Kya ek umar thi ya bas ya ghum-e-shaam thi maut Koi taruff hua ya fir gumnam thi maut Tum jeete ji mare toh wo to naam i maut Mere shehar me to ek waqt pe aam thi maut Kala ko rulaaye, kalakaar ki maut So my brothers ride with me while the safety's off Agar aa rahe ho this better be worth the 'cause Wo dete kyun awaaj nahi ab Dil bardasht tha, sirf udaas nahi hum Tum ho yaad hume tumhe aate yaad nahi hum Smoke trees poora din aate baaz nahi hum, yeah
Tu hee aag tu he uspe parti baarish, Mein wo khaali haveli jiski tu akeli waaris, Tu hee chaaon, tu hee dhoop, rangon ke saat roop, Tu jitni khoobsurat uss se kahee'n zyada duur, Mein likhna chor dun jo tere baare, Mein qalam torr dun aur tu siyaahi mein basa reh, Hansa rahey zamaane ko khud se pareshaan, Wo parhti thi kitaabein mein parhta hun insaan,
Duniya lagi hui eid ke mahol me, Ek hum jo teri deed ke mahol me, Kya kya likh deta hun neend ke mahol me, Mai aane ke liye raazi hun, mureed ke mahol me, Baitha rehta hun umeed ke mahol me, Tu paani tak ni puchti yazeed ke mahol me, Lage pade ab sangeet ke mahol me, Hum haarne ko raazi hai is jeet ke mahol me, Mai khud talash me mile mujh jaise log nahi, Mai ek bahar aur tu mausmo kO rok nahi, Tu ek pehar meri soch me sama hua, Mai likhun sher tujhe shaayri ka shauk nahi,
Wo mazi bane jinse puchna tha haal mujhe Rabb ka waasta na mushkilo me daal mujhe Soch kaidi banaye, aakar bahal mujhe Kya kamaal mujhe, ye meri aajzi hai Mai udu aasma pe, duniya meri kagzi hai Tu soche baare mere munh pe anjaan bane Mai sab jaan ke bhi chup, ye meri saadgi hai Rakhti aage tere jo bhi murade hai Tum bhi poori kaha ab, hum bhi tehre aadhe hai Chand safo ki baat mukti mugate hai Tum padhti nahi ho warna hum khuli kitaabein hai
Duniya lagi hui eid ke mahol me Ek hum jo teri deed ke mahol me Kya kya likh deta hun neend ke mahol me Mai aane ke liye raazi hun, mureed ke mahol me Baitha rehta hun umeed ke mahol me Tu paani tak ni puchti yazeed ke mahol me Lage pade ab sangeet ke mahol me Hum haarne ko raazi hai is jeet ke mahol me Mai khud talash me mile mujh jaise log nahi Mai ek bahar aur tu mausmo ko rok nahi Tu ek pehar meri soch me sama hua Mai likhun sher tujhe shaayri ka shauk nahi Dekhu aaina toh hota hai malal mujhe
submitted by
uploaded by
profile:
Sorry! Ap apne item ya profile ko report nahi kar saktey, na hi apne ap ko block kar saktey hain