Mom ki tarha pighlty howy dekha us ko . Rut jo badli to badalty howy dekha us ko . Jany kis ghum ko chupany ki tamanna hay usy . Aaj har baat par hansty howy dekha us ko . Wo jo kanton ko bhi narmi se chuwa karta tha . Hum nay pholon ko masalty howy dekha us ko . Najany woh duaon main mangta hay kisey . Haath uthaty hi sisakte howy dekha us ko
Tutta dil mera aur isey phir jor na saki usney to mor liya muh apna par me mor na saki dekhti rahi us gali ke kone tak usko sochti rahi kya le gaya aur kya de gaya vo mujhko
Taazi hai abi pehli molaqat ki khshbu jazbat me doobi hue lamhat ki khshbu jis hath ko pal bhar k lia tham lya tha muddat se hath me hai usi hath ki khshbu
Bheegi hui aankho ka ye manzar na mille ga Ghar chor kay mat jao kahin ghar na mille ga . . . . . . Phir yaad bohut aaye gi zulfo ki ghani shaam Jab dhoop may saaya koi sar par na mille ga
Phir chupke se aahein bharta hai koi 💗 Phir pyar se humein bulata hai koi 💗 Par hum to bahaut dour ja chuke hein 💗 Kiyonki patthar sa apna dil banata hai koi 💗
kabhi gulzar si🌹 kabhi bezar si🌹 kabhi khushi hamare sath sath🌹 kabhi ghamon ki barsat si🌹 kabhi tofaan mein bhi hein raste🌹 kabhi manzilon ka pata nahi🌹 kabhi do qadam pe zindagi🌹 kabhi saddion tak intizar si🌹 kabhi har pal imtihan hai🌹 kabhi bin mange inaam si🌹
*AAS* Bohat mumkin hai sehra mein abhi phool khilne hon Bohat mumkin ha aankhon ko abhi kuch khuwab bunne hon Bohat mumkin hai ach'che din hamari rah takte hon Bohat mumkin hain rahon mein kai dilkash nazare hon Abhi hum ne chupi khushyon ka ik ik raz pana ho Zara kuch der ruk jao Abhi us din ko aana hai.....
"TO KIA KARUN" Tum bin qarar na ae to kia karun, Har pal tmhari yaad ae to kia karun, Tum ko to zid yahi hai bhula dun tmhe magar, Dil se tmhari yaad na jae to kia karun, Mere liye sharab ka choona haram hai, Likn teri nigah pilae to kia karun, Surat mai apni bhool gaya tujko dekh kar, Har aaine mai tu nazar ae TO KIA KARUN...
"Yadain Jaag Jati Hai Barisho K Mosam Mai Har Ghari Satati Hai Barisho K Mosam Mai Shaam B Kisi Surat,Chain Se Nahi Kat-ti Subhain B Satati Hai Barisho K Mosam Mai Zehn K Jarokay Mai Jab Koyi Sadaa Obray Aankain Bheeg Jati Hai, Barisho K Mosam Mai"
"Sir jhukaany ki aadat nahi hay, Aansoo bahaany ki aadat nhi h, Hm kho gaye to pachtao gay bohat, Hamaari Lout k Aany ki aadat nahi hay, Terey dar pay Muhabbat k sawali ban jaaty, Lekin Haath phelaany ki aadat nahi hay, Teri yaaden aziz hen bohat, Magar Waqt ganwaany ki aadat nahi hay, Tum sakht Dil nikle kya gila kren hum, Shikwa -e-dil lab py laany ki aadat nahi hay, Bad’dua b kya kren HAQ men tumhaary? Hamain to Dil b dukhaany ki aadat nahi hay…"
"Ye guzarish hai faqat muj pe meharbaan raho Tum kisi aour ko dekho tu bura lagta hai. Meri chahat ka taqaza hai mere saath raho Haath jo gair ka thamo tu bura lagta hai. Ye tamanna hai tere har roop ko har pal dekhoon Tum mere paas se uthu tu bura lagta hai. Roz-o-shab aaj b parwa hai tumhari muj ko"
"Wo Mujh Se Yehi Pochti Ha Kiya Hum Kabi Mil B Pain Ge.? Usey Main Sirf Itna Kehta Hon Qismat Pe Yaqeen Main Nahi Karta Magar..! Hamesha Pur Umeed Rehta Hon Tum Wesa Hi Karna Jaisa Mein Kehta Hon Khawab Jo Dekhain Hain Wo Tabeer Pain Gey Agar Lagan Sachi Ha To Hum Mil Hi Jain Gey"
"Saarey waadon ko bhula sakta hun, lekin rehne do..! Main tumhein chor k ja sakta hun, lekin rehne do..! Tum jo har morr pe keh daitey ho khuda hafiz, faisla mein bhi suna sakta hun, lekin rehne do..! Tum ne jo baat ki dil ko dukhaney wali, us per main muskura b sakta hun, lekin rehne do..! Sharam aaye gi tumhein warna tumharey waaday, main tumhein yaad dila sakta hun, lekin rehne do."
1 Shaks marnay k baad khud ko jannat me daikhta hay Hairan hoker apnay rab sy poochta hay Ya Allah mujhay nahi yaad parta k me nay asa koi naiki ka kaam kia hoga k jiski waja sy me yahan agaya Allah Pak farmaiga waqai tunay asa koi bara kaam nahi kia siwai isk k sonay sy pehly tu sab ko maaf kark soya karta tha tujhay kia lagta hay k tu mujh sy ziada bara sakhee hay jaa me ny bhi tujh ko maaf kia!!!!! (Subhan Allah)
submitted by
uploaded by
profile:
Sorry! Ap apne item ya profile ko report nahi kar saktey, na hi apne ap ko block kar saktey hain