Uss ghar ki misaal jis mein ALLAH ka zikar hota hai aur jis ghar mein ALLAH ka zikar nahi hota.. zinda aur murda ki hai. (Sahih Muslim : hadees-779) jis ghar main Quran Pak ki tilawat hoti hai wo ghar aasmaan walon ke liye aise chamakta hai jaise zamin walon ke liye aasman pe sitare chamakte hai.
Aasman Ke Taro (Stars) Ke Barabar Nekiyan Sayyeda Ayesha رضي الله عنها Farmati Hain Ek Baar Rasool Allah ﷺ Mere Ghar Tashreef Farma The Aur Raat Roshan Thi Tu Maine Arz Kiya Ya Rasool Allah ﷺ Kya Kisi Ki Nekiyan Aasman Ke Sitaro Ke Barabar Hongi? Rasool Allah ﷺ Ne Irshad Farmaya Haa Hai Aur Wo Hazrat Umar e Farooq رضي الله عنه Hai Jinki Nekiyan Aasman Ke Sitaro Ke Barabar Hain. Hazrat Ayesha Siddiqa رضي الله عنها Farmati Hain Phir Maine Arz Kiya Ya Rasool Allah ﷺ Phir Mere Walid (Father) Hazrat Abu Bakr Siddiq رضي الله عنه Ki Nekiyan Kis Darje Me Hai? Rasool Allah ﷺ Ne Irshad Farmaya Hazrat Umar رضي الله عنه Ki Tamam Nekiyan Hazrat Abu Bakr Siddiq رضي الله عنه Ki Ek Nekiyon Me Se Sirf Ek Neki Ke Barabar Hain
Yani Hazrat Umar Ki Asman Ke Sitaro Ke Barabar Nekiya Hazrat Abu Bakr Siddiq Ki Ek Neki Ke Barabar Hai Tu Socho Unki Ek Neki Ki Ye Shan o Azmat Hai Tu Sari Nekiyon Ka Kya Aalam Hoga Jab Ek Neki Ka Ye Alam Hai Aur Isse Ye Bhi Pta Chala Ke Hazrat Ayesha Siddiqa Ka Aqeeda Ke Huzoor ﷺ Ko Iska Bhi ilm Hai Ke Aasman Me Kitne Sitare Hai Aur Uske Barabar Kiski Nekiya Hai Tabhi Tu Unhone Pucha Warna Kya Wo Nahi Janti Thi Ki Ye Koi Nahi Janta Ke Asmaan Me Sitare Kitne? Reference Book Mishkat al Masabih Page 1711 Hadees 6059 Scan Page
Aey Mere RUB koi Zabt De Na jalal De, Mujhe Sirf itna kamal De, Mujhe Apni rah pe Dal De, K Zamana Meri Misal De, Jo Teri Rehmaton ka Nazol Ho, Muje Mehnato ka Sila Mile, Mujhe Mal-O-Zar ki Hawas Na Ho, Mujhe Bus Tu Rizq-E-Halal De, Mere Zehn Me Teri Fikr Ho, Meri Sans Me Tera Zikr Ho, Tera Khauf Meri Nijat ho, Sabhi Khauf Dil Se Nikal De, Teri Bargah Me Aey RUB, Meri Roz-O-Shab Hai yahi Dua, Tu RAHEEM Hy Tu KAREEM Hy, Tu Mujhy Mushkilon se Nikal De
RASOOLULLAH (Sallallaho Alaihey Wa Sallam) Ne Farmaya, "Jab Log Buraai Hotey Hoey Dekh Lain Or Usey Badalney (Rokney) Ki Koshish Na Karen To Qareeb Hai K ALLAH Unhen Apney Azaab Ki Girift (Pakar) Me Le Ley." (Abu Da'od Hadith# 4338, Tirmizi Hadith# 2178)
"DUAA"Aye Maalik-e-Arz-o-sama, Aye Khaalik-e-Qainaat,Apni khudai k sadqe,Hamesha Mehfooz Rakhna,Be-roz-Gaari Se,Tangdasti Se,Aazmaish Se,Rizq Ki Kami Se,Ruswai Se,Qarz Se,Marz Se,Jahanum Se,Hisab Kitab Se,Aulad KY Dukh Se,Waalidain Ki NaFarmani Se,Deen Ki Doori Se,Amanat Mai Khayanat Se, Gharoor se, takaber se, gussay se,AurNaGahani Maut Se,ALLAH mjhay bhi baksh de aur usay be jisnay ye dua mujhay bheji Ameeen sum Ameeen
Surah Ahzab Ayat 33 With Urdu Translation اور اپنے گھروں میں ٹھہری رہو اور بے پردہ نہ رہو جیسے اگلی جاہلیت کی بے پردگی (ف۸۴) اور نماز قائم رکھو اور زکوٰة دو اور اللہ اور اس کے رسول کا حکم مانو ا لله تو یہی چاہتا ہے، اے نبی کے گھر والو! کہ تم سے ہر ناپاکی دور فرما دے اور تمہیں پاک کرکے خوب ستھرا کردے (ف۸۵) ﴿۳۳﴾ (ترجمہ: کنزالایمان)
submitted by
uploaded by
profile:
Sorry! Ap apne item ya profile ko report nahi kar saktey, na hi apne ap ko block kar saktey hain