Damadam.pk
Warishakhan's posts | Damadam

★ Warishakhan's posts:

Warishakhan
 ★ 

ALLAH HAFIZ

Islamic Quotes image
W  ★ : Bishak - 
Sindhi ajrak topi Sindh je Shan aha
W  ★ : Sindhi ajrak topi Sindh je Shan aha - 
Culture day ju Sabh ne khe lakh lakh mubarkhu hujan jiye Sindh
W  ★ : Culture day ju Sabh ne khe lakh lakh mubarkhu hujan jiye Sindh - 
Warishakhan
 ★ 

Allah hafiz

Aslaam Alikum
W  ★ : Aslaam Alikum - 
Warishakhan
 ★ 

Allah pak sub ko khosh rakhi Ameeen Allah hafiz

Warishakhan
 ★ 

ya Allah pak jo b mobale istmal karty he sahi astmal karne ke hidayat de un sub logo ko Ameen sum Ameen

Warishakhan
 ★ 

Hazrat Ibn-e-Abas sy rawayat hai Rasool Allah (P.B.U.H) Ny fermaya: Jisy 4 Cheezy Dy di gaein to usy dunya or aakhirat ki tamam bhalaeyan dy di gaein: 1- Shuker guzar dil 2- Zikar krny wali zuban 3- Azmaish per saber krny wala jism 4- or aysi biwi jo apny nafs or shohar k mal mein khayanat na kry.

Warishakhan
 ★ 

Aey Mere ALLAH koi Zabt De Na jalal De, Mujhe Sirf itna kamal De, Mujhe Apni rah pe Dal De, K Zamana Meri Misal De, Jo Teri Rehmaton ka Nazol Ho, Muje Mehnato ka Sila Mile, Mujhe Mal-O-Zar ki Hawas Na Ho, Mujhe Bus Tu Rizq-E-Halal De, Mere Zehn Me Teri Fikr Ho, Meri Sans Me Tera Zikr Ho, Tera Khauf Meri Nijat ho, Sabhi Khauf Dil Se Nikal De, Teri Bargah Me Aey RUB, Meri Roz-O-Shab Hai yahi Dua, Tu RAHEEM Hy Tu KAREEM Hy, Tu Mujhy Mushkilon se Nikal De ***** ( “Aameen”) *****

Warishakhan
 ★ 

sub ko aor dmadm walo ko Allah pak shad abad rakhe Ameen

Ameeen sum Ameeen
W  ★ : Ameeen sum Ameeen - 
Warishakhan
 ★ 

Likha hai ik zaeefa thi ke jo Makkah mein rehti thi
wo in batoon ko sunti thi magar khamosh rehti thi
wo sunti thi Muhammad hai koi Hashim gharane mein
wo kehta hai Khuda bas ek hai saare zamaane mein
wo sunti thi Hubul ki, Laat ki tazleel karta hai
wo apne haq ke paimane ki youn tameel karta hai
wo sunti thi jo uske saath hai wo hai ghulaam uska
musalman ho hi jaata hai jo sunta hai kalaam uska
likha hai wo zaifa ek din Kabah mein ja pahunchi
Hubul ke paaon par sar rakh ke usne ye dua mangi

Warishakhan
 ★ 

musalman ho hi jaata hai jo sunta hai kalaam uska
likha hai wo zaifa ek din Kabah mein ja pahunchi
Hubul ke paaon par sar rakh ke usne ye dua mangi
mein tujhko poojti hoon aur Khuda bhi tujhko kehti hoon
bada afsos hai jo aaj kal mein ranj sehti hoon
wo gham ye hai Muhammad hai koi Hashim gharane mein
wo kehta hai Khuda bas ek hai saare zamane mein
mita do uski hasti ko na le phir koi naam uska
jigar chalni hua jata hai sun sunkar kalaam uska

Warishakhan
 ★ 

dua kar k uthi sajde se aur wo apne ghar aayi
samajti thi ye dil me ab meri ummeed bhar aayi
zaifa ko khushi thi ab Hubul bijli gira dega
Muhammad to Muhammad sathiyon ko bhi mita dega
magar kuch din guzarne par na jab ummed bar aayi
dua kar ke Hubul se apne dil me khoob pachtai
gharaz tarkeeb usne soch li ye khud hi ghar aa kar
k chodongi ye basti mein rahongi aur kaheen ja kar
gharaz ek din subah ko usne apni ek gathri li
nikal ke ghar se apne aur darwaze pe aa baithi
zaifa sochti thi ab koi mazdoor milta hai

Warishakhan
 ★ 

usey yeh kya khabar thi ik khuda ka noor milta hai
fariza subh ka karke ada sarkare-do-aalam
chale jate the kabah ki taraf wo rehmat-e-aalam
Jalon mein aap to shams o qamar maloom hote the
paye tasleem sajde mein shajar maloom hote the
zaifa muntazir mazdoor ki baithi thi ghabrai
yakayak samne se chand si surat nazar aayi
zaifa ne kaha, “baita yahan aana bata kya naam hai tera.”
kaha, “mazdoor hoon amman bata kya kaam hai tera.”
kaha, “mazdoor hai gar tu, to chal gathri meri lekar,
mein khush kardongi aye mazdoor mazdoori teri dekar.”
ye sunkar Aapne gathri utha kar apne sar par li
zaifonki madad karna ye aadat thi peyambar ki
gharaz gathri ko lekar manzil e maqsood par aayi
kaha dil se ke ay dil

Warishakhan
 ★ 

gharaz gathri ko lekar manzil e maqsood par aayi
kaha dil se ke ay dil ab teri ummed bhar aayi
kaha, “beta jo thi dil me tamanna ho gayi puri
Muhammad to Muhammad saathiyon se hogai duri.”
lagi dene jo mazdoori zaifa Aapko us dam
to farmane lage us dam huzur e sarware aalam,
“ye koi kaam hai amman mein lon ab jiski mazdoori.
koi gar aur khidmat hai to wo bhi mein karon puri.”
ye farmate hoye ki Aapne jane ki yeh tayyari
zaifa se ijazat chahte the rehmat e baari

Warishakhan
 ★ 

zaifa ne kaha, “baita zara thairo chale jana.
mujhe ik baat kehni hai zara sunkar chale jana.
yaqeen jano ke ab Makkah mein jhagda hone wala hai.
mein samjhati hoon tujhko isliye to bhola bhala hai.
wo Makkah mein qabeela Hashmi naam o laqab wale.
wahi beta jo hain sardar Abdul Mutallib wale.
unheen mein ik jawan hain jo suna jata hai sahir hai.
ke is fan mein magar beta wo apne khoob mahir hai.
wo sar hota hai jiske dil mein ulfat boo ke rehta hai.
jo sunta hai kalaam uska wo uska ho ke rehta hai.
hamesha bach ke chalne usse bole koi naam uska.
nasihat hai yahi meri na sunna tu kalaam uska.”

Warishakhan
 ★ 

uska.
nasihat hai yahi meri na sunna tu kalaam u
Nabi budhiya ke dil mein noor-e-wahdat bharne wale the
nasihat sun rahe the jo nasihat karne wale the
zaifa ne kaha, “baita bhala kya naam hai tera?
tera aaghaz kya hai aur kya anjaam hai tera?
kaha Hazrat ne budhiya se, “tujhe kya naam batlaaon!
mein kya kaam batlaon mein kya anjaam batlaon!
mein banda hoon Khuda ka aur mein rasool uska hoon.
kaha gardan jhuka kar aapne mein hi Muhammad hoon.
mein hoon masoom duniya mein mera dushman zamana hai.
Khuda wahid hai aalam mein mujhe bas ye batana hai.
ye sunna tha ke bas aankhon se aansu ho gaye jaari
Nabi ke ishq ki ik chot si dil par lagi kaari
zaifa ne kaha, “beta karo mushkil meri aasaan,
mein ai

Hazrat Muhmaad SAWW
W  ★ : Hazrat Muhmaad SAWW -