Tajziya kia gaya hai ke yahan pe 60% se zyada log follow karney se pehlay hamesha user ki profile dekhtey hain. Yaani zyada tar awaam profile dekh ke decide karti hai ke follow karna hai ke nahi! ------ Is 60% ke number ka faida uthaney ke liye apko kya karna chahiye? ------ Jawab: 1) Apni profile hamesha achi terah se complete karein. 2) Apni display photo bhi lagain. 3) Mayari posts share karein. Users ko apki profile pasand aye gi tou followers aur zyada tezi se barhein ge. Good luck!
Followers bananey ka best tareeqay 2 hain: 1) Aisi posts karein jo ke 'Trending' mein aien, 2) Apney close friends ko follower banain. ------- "Follow to follow" se bekaar Followers bantey hain. Kyun? Kyunke 1) Itney followers ban hi nahi saktey jitney trending se bantey hain, 2) "Follow to follow" waley followers ko apki posts mein interest nahi hota, lehaza comments and like bhi zyada nahi kartey, 3) "Follow to follow" ki wajah se apka "For Me" fazool cheezoon se bhar jata hai. ------- Trending mein kaunsi posts ati hain? Iskey liye 1) Top pe 'Stars' ko press karein, aur us mein 'Be a star' dekhein, 2) Aur users ki trending posts bhi dekhein. Koi bhi trending mein aa sakta hai, agr post hamarey mayaar pe utrey tou. Good luck!
Sharing tip: andha dhund posts share karney se followers tang hotay hain. Kyun ke unke "For Me" mein apki posts ka selaab aa jata hai. Followers tang aa ke unfollow bhi kar dete hain. Is liye best yehi hai ke din mein 4-6 dafa waqfey wagfey se sharing karein. Apka qul waqt milaa ke utna hi laggey ga; bass aik hi dafa mein dher saari sharing karney ke bajai different times mein divide kar lein. Is terah apkey followers bhi khush rehain ge, aur unki tadaad mein bhi izafa hota rehay ga. Shukria!
Sirf un users ko FOLLOW karein jinki posts apko pasand hain, aur jo andha dhund post kar ke "For Me" mein be-tahaasha rush nahi kar dete. Matkey se users ko "fan to fan" ki adat par gyi thi. Ab us cheez ko bhool jaien. Agar ap "follow to follow" kar ke har insan ke follower ban jaien ge tou apka "For Me" page bekaar ho jaye ga. Apka apna hi nuqsan hai. "For Me" ko home ki jagah rakha hi is liye gaya hai kyun ke yeh website zabardast posts and "Followers" ki janib jaa rahi hai. Puranay home pe chatting, vulgur posting aur spamming hoti thi. Us cheez se ab hum dur ja rehay hain. Behtar yehi he ke "For Me" ko sahi use karna seekhein. Shukria and good luck!
Hello friends! Ab users sirf apney followers ko 1-on-1 invite send kar saktey hain. Lekin un logoon ko nahi jo unko follow nahi kar rehay. Is change ka maqsad kya hai? Maqsad yeh hai ke kuch users hamari website ko sirf vulgur private chatting (in 1on1) ke liye use kartey hain. Us kissam ke bad users ne website ka mahol kharab kiya hua tha. Ab woh users aram se 1-on-1 ko vulgur chatting ke liye use nahi kar paien ge. Is terah website ka mahol pehlay se behtar ho ga. Shukria.
submitted by
uploaded by
profile:
Sorry! Ap apne item ya profile ko report nahi kar saktey, na hi apne ap ko block kar saktey hain