yaaro kisī qātil se kabhī pyaar na māñgo apne hī gale ke liye talvār na māñgo gir jāoge tum apne masīhā kī nazar se mar kar bhī ilāj-e-dil-e-bīmār na māñgo khul jā.egā is tarah nigāhoñ kā bharam bhī kāñToñ se kabhī phuul kī mahkār na māñgo sach baat pe miltā hai sadā zahr kā piyāla jiinā hai to phir jiine kā iz.hār na māñgo us chiiz kā kyā zikr jo mumkin hī nahīñ hai sahrā meñ kabhī sāya-e-dīvār na māñgo
marhala raat kā jab aa.egā jism saa.e ko taras jā.egā chal paḌī rasm jo kaj-fahmī kī baat kyā phir koī kar pā.egā sach se katrā.e agar log yahāñ lafz mafhūm se katrā.egā e'tibār us kā hamesha karnā vo to jhūTī bhī qasam khā.egā tū na hogī to phir ai shām-e-firāq kaun aa kar hameñ bahalā.egā ham use yaad bahut ā.eñge jab use bhī koī Thukrā.egā kā.enāt us kī mirī zaat meñ hai mujh ko kho kar vo kise pā.egā na rahe jab vo bhale din bhī 'qatīl' ye zamāna bhī guzar jā.egā
تمہارا دل مرے دل کے برابر ہو نہیں سکتا وہ شیشہ ہو نہیں سکتا یہ پتھر ہو نہیں سکتا ہزاروں کام محبت میں ہیں مزے کے داغؔ جو لوگ کچھ نہیں کرتے کمال کرتے ہیں ملاتے ہو اسی کو خاک میں جو دل سے ملتا ہے مری جاں چاہنے والا بڑی مشکل سے ملتا ہے وفا کریں گے نباہیں گے بات مانیں گے تمہیں بھی یاد ہے کچھ یہ کلام کس کا تھا دل دے تو اس مزاج کا پروردگار دے جو رنج کی گھڑی بھی خوشی سے گزار دے
Hum-Aahangi Nahin Dunia Se Teri Tujhe Is Par Nadaamat Hai! Nahin To Hua Jo Kuch Yehi Maqsoom Tha Kya! Yehi Saari Hikaayat Hai! Nahin To Azeeyat-Naak Ummeedon Sey Tujh Ko Amaan Paaney Ki Hasrat Hai! Nahin To Tu Rehta Hai Khayaal-O-Khwaab Mein Gum To Is Ki Wajha Fursat Hai! Nahin To Wahaan Waalon Sey Hai Itni Muhabbat Yahaan Waalon Se Nafrat Hai! Nahin To Sabab Jo Is Judaai Ka Bana Hai Wo Mujh Se Khoobsoorat Hai! Nahin To
Yeh Gham Kya Dil Ki Aadat Hai! Nahin To Kisi Sey Kuch Shikaayat Hai! Nahin To Hai Woh Ek Khwaab-E-Be-Taabeer Bhula Dene Ki Neeyat Hai! Nahin To Kisi Ke Bin, Kisi Ki Yaad Ke Bin Jiye Jaane Ki Himmat Hai! Nahin To Kisi Soorat Bhi Dil Lagta Nahin! Haan To Kuch Din Se Yeh Haalat Hai! Nahin To Tujhe Jisne Kahin Ka Bhi Na Rakhkha Woh Ek Zaati Si Wehshat Hai! Nahin To Tere Is Haal Par Hai Sab Ko Hairat Tujhe Bhi Is Pe Hairat Hai! Nahin To
tum haqīqat nahīñ ho hasrat ho jo mile ḳhvāb meñ vo daulat ho maiñ tumhāre hī dam se zinda huuñ mar hī jā.ūñ jo tum se fursat ho tum ho ḳhushbū ke ḳhvāb kī ḳhushbū aur utnī hī be-muravvat ho tum ho pahlū meñ par qarār nahīñ ya.anī aisā hai jaise furqat ho tum ho añgḌā.ī rang-o-nik.hat kī kaise añgḌā.ī se shikāyat ho kis tarah chhoḌ duuñ tumheñ jānāñ tum mirī zindagī kī aadat ho kis liye dekhtī ho ā.īna tum to ḳhud se bhī ḳhūb-sūrat ho dāstāñ ḳhatm hone vaalī hai tum mirī āḳhrī mohabbat ho
Chipak Raha Hai Badan Par Lahoo Se Pairaahan Hamaaree Jeb Ko Ab Haajat-e-Rafoo Kya Hai , jala hai jism jahan dil bhi jal gaya hoga kuredte ho jo ab raakh justuju kya hai , rago me dhorte phirne ke hum nahi qael, jab aankh hi se na tapka to pir lahoo kya ha, rahi na taqat-e-guftār aur agar ho bhi to kis umeed pe kahiye ki aarzu kya hai