mohabbat insān kī hai fitrat kahāñ hai imkān-e-tark-e-ulfat
vo or bhi yaad aa rahy hain maiñ unko jitnā bhulā rahā huñ
my social skills are so bad
but when i am talking to myself damn
MY POETRY
udaasi ki bhi koi dawa hoti to main pee leta
zindagi jese ghum ko thora or jee leta
itna apna koi nhi jis pr haq jata sku
Mar Chuka Hai Dil Magar Zinda Hun Main
Zehar Jaisi Kuch Dawayein Chaiye’en
Poochty Hain Aap, Aap Achey Toh Hain
Jee Main Acha Hun, Duayein Chaiye’en
༼ ͠° ͟ل͜ ͠° ༽
PEGAAM;
unhy mera pegaam do
dard hy is pegaam mn
parho usy saleeqy se
or dard ko phyla do
wazan hy in sheron ka
mere dimag ki kandhon pr
sar ye phor do
ye wazan utar do
MY POETRY/
HALATA-E-DIL
kuch hua hy k kch kah nhi sakta
apno ka hi dia hua zakham sah nhi skta
halat e dil hy boht khraab
halat e dil kisi se kah nhi skta
puch lo mujse koi mujhe hua hy kya
khamoshi se ye sab sah nhi sakta
MY POETRY/
MUJHE DAR HY;
mujhe dar hy k mn darna chor na du
jo hy sabko bharosa wo bharosa tor na du
mahv-e-tamasha hy un-madh-bhari ankhon ka
un-madh-bhari ankhon ka bharam tor na du
chand ko hy talab roshan shamsi
bta kr unki fitrat inka bharosa tor na du
manzilen hn gar koso.n dur
duriyo ka bharosa tor na du
dagmagaty hn qadam jo chal parta hu
chalkr kch qadam or saharon ka bharosa tor na du
MY POETRY/
ZINDAGI;
bayan nhi hoti, zindagi kesi hy
paani par lagi aag jesi hy
hy khof jeeny ka har pal,
ye zindagi bhi mot jesi hy
band ankh bhi jaag lete hn,
nend bhi ab khayal jesi hy
kesi ki dua se hua zaiyat mn izafa ,
ab to dua bhi badua jesi hy
kinara-kashi krli hy usne
unki furqat bhi ab visaal jesi hy
unki yaad se hojati hy tabiyat bahaal
unki yaad bhi ab dawa jesi hy
thi jo mri pyari muskaan "log kahty thy"
ab in laboon pr wo bhi khoi hui aas jesi
MY POETRY/
HASNE KI BT HY;
ye hasne ki bt hy! acha ye hasne ki bt hy
mujhe nend nhi i nend mn, ye hasne ki bt hy
bhar chuka tha jo zakham cheer dia guftaar se
udas hu mn behad or ye hasne ki bt hy
samj sako to samjhdar ho
har kisi k nhi smjh ne ki bt hy
hans pary ho be-taqaluf hum pr
hans lo ! hans lo! hn ye hans ne ki bt hy
MY POETRY/
RAAKH;
phalon bhra darakht tha
toot gira toofano mn
suraj ki tapish se mujh mn lagi aag hy
jalta raha sadiyo tak
angary thy mujh mn tab
bhuj chuka hu mn ab mujh mn bachi raakh hy
YAADEN;
yaadon mn hn wo, khyalo mn hu gum
unhy koi idraak nhi
wo samaj rhy hn toot chuka hu
nahi! ye koi firaaq nhi
MY POETRY/
HALATA-E-DIL
kuch hua hy ky kuch kah nhi sakta
apno ka hi dia hua zakham sah nhi skta
halat-e-dil hy boht khraab
halat-e-dil kisi se kah nhi skta
puch lo mujse koi mujhe hua hy kya
khamoshi se ye sab sah nhi sakta
MY POETRY/
SITAMGAR
fasl-e-gul bhahar ki bt hy
shiqayt! unse! se bekar ki bt hy
saha jay harr sitam sitamgar ka
meri himat se bahar ki bt hy
MY POETRY/
jo mujhe dekhta hai, naam tera leta hai
main to khamosh hoon, halat meri khamosh nahin
yaad itna hai ke pahuncha dar-e-mainkhane tak
kya kahoon aage ke aage ka mujhe hosh nahin
main teri mast nigahi ka bharam rakh loonga
hosh aaya bhi to keh doonga mujhe hosh nahin
Ye alag baat hai saqi ke mujhe hosh nahin
warna main kuch bhi hoon, ehsaan faramosh nahin
Mil ke jis din se gaya hai koi ik baar “Jigar”
Mujh ko ye veham hai jaise mera aagosh nahin
submitted by
uploaded by
profile:
Sorry! Ap apne item ya profile ko report nahi kar saktey, na hi apne ap ko block kar saktey hain