SITAMGAR
fasl-e-gul bhahar ki bt hy
shiqayt! unse! se bekar ki bt hy
saha jay harr sitam sitamgar ka
meri himat se bahar ki bt hy
MY POETRY/
jo mujhe dekhta hai, naam tera leta hai
main to khamosh hoon, halat meri khamosh nahin
yaad itna hai ke pahuncha dar-e-mainkhane tak
kya kahoon aage ke aage ka mujhe hosh nahin
main teri mast nigahi ka bharam rakh loonga
hosh aaya bhi to keh doonga mujhe hosh nahin
Ye alag baat hai saqi ke mujhe hosh nahin
warna main kuch bhi hoon, ehsaan faramosh nahin
Mil ke jis din se gaya hai koi ik baar “Jigar”
Mujh ko ye veham hai jaise mera aagosh nahin
main faramosh hoon, nazaara faramosh nahin,
baat to hosh ki karta hoon magar hosh nahin
ishq gar husn ke jalwon ka hai marhoon-e-karam,
husn bhi ishq ke ehsaan se subukdosh nahin
mit chuke zehan se sab yaad-e-gujshta ke nakoosh
phir bhi ik cheez hai aisi ke faramosh nahin
ab to taseer-e-gham-e-ishq yahaan tak pahunchi
ke idhar hosh agar hai to udhar hosh nahin
paon uth sakte nahin manzil-e-jaana ke khilaf
aaur agar hosh ki poocho to mujhe hosh nahin
husn se ishq juda hai na juda ishq se husn
kon si shay hai jo aagosh-dar-aagosh nahin?
Mehv-e-tabeeh to sab hain magar idraaq kahaan
Zindagi khud hi ibadat hai magar hosh nahin
Kabhi un madbhari aankhon se piya tha ik jaam
Aaj tak hosh nahin,hosh nahin,hosh nahin
Keh gayi kaan mein aakar tere daaman ki hawa
Sahib-e-hosh wohi hai ke jise hosh nahin
Rind jo mujhko samajhte hain unhein hosh nahin
Mainkada saaz hoon main mainkada bardosh nahin
Hairat-e-ishq nahin, shauq janoon-posh nahin
Be-hijaban chale aao mujhe hosh nahin
SHIQAYAT;
dast-o-grebaan hu khudse zameer ne ki shiqayt hy
andhera sa andhera hy tu, roshni ne ki shiqayt hy
labon ko hy zuban se diqat guftugu ne ki shiqayt hy
zarat ki manind saa hu hawa ne ki shiqayt hy
dard mn bhi aram kyu kr hy chaaragar ne ki shiqayt hy
ayaat hn rooh-e-faani mn ahel-e-quboor ne ki shiqayt hy
bal pary hn peshani pr q halaat ne ki shiqayt hy
ankh ka nhi taluq deed se ashkon ne ki shiqayt hy
qadam tere hn kahan manzilon ne ki shiqayat hy
dhaby se hn dil par khataoun ne ki shiqayt hy
noor kahan hy tera ay khataqaar rooh ne ki shiqayt hy
haathon mn ye qalam kyu kr hy safoon ne ki shiqayt hy
jan ko hy masla darpesh saanson ne ki shiqayt hy
shiqayt ko hy mujhse shiqayt, kyu khudse mne ki shiqayt hy
MY POETRY/
AAZMAISH;
Ye bu hy kesi tan-bandan mn lahoo ki
dil ne hy sada mot ki aarzoo ki
arzz-o-sama kyu kar hy khilaaf
had hoti hy aazmaish ki
jaan ko rooh se kyu kr hy adawat
kya ye kash-ma-kash sada rhy gi
jabar hy ya qadar hy
mujhe behad fikar hy
Raab E Kaaba kijo mujy maaf
mne hy sada boht shiqayat ki
MY POETRY/
Agaram hayat bakhshi, wagaram halaak khahi,
submitted by
uploaded by
profile:
Sorry! Ap apne item ya profile ko report nahi kar saktey, na hi apne ap ko block kar saktey hain