Damadam.pk
simraan's posts | Damadam

simraan's posts:

simraan
 

Is Ishq Kay Raastay Ki Bas Do He Manazil Hain
Ya Dil main Utar Jaana Ya Dil Se Utar Jaana

simraan
 

Phr Naya Haath Thaama Us Ne
Phr Haathon Ko Jalaya Mene

simraan
 

Phr Youn Howa Kay Lab Se Hansi Cheen Li Gae
Phr Youn Howa Kay Hans’nay Ki Adat Nahin Rahi

simraan
 

Lafz Tootay Labay Izhaar Tak Aatay Aatay
Mar Gaey Ham Tere Miyaar Tak Aatay Aatay

simraan
 

Chup Chaap Toot’ti Gaen Aason Ka Shukria
Samjhay Na Dard Dard Shanaso Ka Shukria

simraan
 

Guzaar Don Tere Gam Main Jo Umary Khizr Milay
Tere Nisaar Ye Do Din Ki ZIndagi Kia Hai

simraan
 

Ja Chukay Ho Magar Nahin Jaatay
Tum To Hijrat Kmaal Kartay Ho

simraan
 

Wo Itfaaq Se Mil Jaey Raastay Main Kahin
Mujhay Ye Shoq Musalsal Safar Me Rakhta Hai

simraan
 

Mere Zakhmon Ki Dawa Kon Banay Ga Tere Baad
Hamnay Apnay Bhe Khoo Diay Tujhay Paanay Kay Liay

simraan
 

Koi Tabeer Nahin Thi Jis Ki
Ham Ne Wo Khawab Musalsal Daikha

simraan
 

Muhabbat Naam Hai Jiska Wo Aaisi Qaid Hai
Kay Umrain Beet Jaati Hain Saza Poori Nahin Hoti

simraan
 

Chalnay Do Sahib Silsala Dil Daari Ka
Ishq Taleem Nahin Kay Mukammal Hojaey

simraan
 

Main Ne Uski Ye Baat Bhe Naa Mani
Us Ne Kaha Tha Apna Khayal Rakhna

simraan
 

Toorta Joorta Hai Roz Mujhay
Nukhs Kia Hai Mujhay Batata Nahin

simraan
 

Mosam Ki Adaa Aaj Bhe Pur Kaif Hai Laykin
Ik Guzri Howi Barsaat Ki Hasrat Nahin Jaati

simraan
 

Ham Ko Mehshar Talak Na Bhoolay Ga
Hansnay Walon Main Too Bhe Shamil Tha

simraan
 

Zara Si Baat Hoti Hai To Tanha Chor Jatay Hain
Muhabbat Kar Kay Logon Se Sanbhali Kyun Nahin Jaati

simraan
 

Mujh Se Kehti Tere Saath Qabar Main Jaongi
Kitni Muhabbat Karti Hai Mujh Se Meri Tanhae

simraan
 

Wo Aakhri Faisla Suna Kar Howay Rawana
Main Laakh Cheekhi Janab Aali Janab Aali!

simraan
 

Nahin Hai Waja Zarori Kay Jab Ho Tab Mar Jaen
Udaas Loog Hain Mumkin Hai Bay Sabab Mar Jaen