Damadam.pk
simraan's posts | Damadam

simraan's posts:

simraan
 

Kabhe Kabhe Zindagi Ki Haqiqton Ko Qabool Karnay Kay Liay Mazboot Nahin Be Hiss Hona Parta Hai.

simraan
 

Agar Tmhari Maa Tmharay Gussay Ki Waja Se Tum Se Baat Kartay Howay Darti Hai
To Tum Afsoos Karo Kyoun Kay Tm Ne Apnay Hathon Magfirat Ka Darwaza Band Kardia Hai

simraan
 

Dhoka Day Kar Koi Nahin Bachta
Kisi Ki Aah Naslain Ujaar Daiti Hai

simraan
 

Kabhe Maa Baap Ki Yaad Aaey To Behen Bhai Mil Kar Baitha Karo
Kisi Kay Chehray Pe Maa Muskarati Nazar Aaey gi Kisi Kay Lehjay Main Baap…!

simraan
 

Jab Koi Insaan Narazgi Door Karnay Kay Liay Pehel Karta Hai
To Is Ka Har Giz Ye Matlab Nahin Kay Wo Galat Tha Balkay Is Ka Matlab Ye Hai Kay Usay Anaa Se Ziada Rishtay Azeez Hain.

simraan
 

Jab Kisi Ne Chorna Ho To
Us Kay Bolnay Ka Andaaz Badal Jata Hai..!

simraan
 

Is Duniya Ki Sab Se Mehngi Chez Ehsaas Hai Jo Har Kisi Kay Pass Nahin Hoti…

simraan
 

Munafiq Dost Aur Saaya Main Koi Farq Nahin Hota
Donon Roshni Main Aap Kay Saath Hotay Hain Aur Andheray Main Gaib Hojatay Hain

simraan
 

Log Kehtay Hain Achay Dil Wala Insaan Hamesha Khush Rehta Hai Laykin Mera Khayal Hai Kay Achay Dil Wala Insaan Bohot Ziada Takleef Uthata Hai

simraan
 

Anokhi Aziyat Kisi Bohot Anaa Walay Ko
Kisi Be Parwah Se Muhabbat Ho Jana..!

simraan
 

Ishq La iLaaj Hai Parhaiz KiJiay.

simraan
 

Baaz Logon Ka Jab Mizaj Kharab Hota Hai To Un Kay Paas Har Baat Ka Bas Aik He Jawab Hota Hai “Pata Nahin”

simraan
 

Khush Qismat Hotay Hain Wo Log Jinhain Koi Mananay Wala Hota Hai

simraan
 

Dhokay Ki Khasiyat Hoti Hai Usay Dainay Wala Aksar Koi Khaas He Hota Hai..!

simraan
 

Jahan Lagay Ehmiyat Kam Ho Rahi Hai Wahan Jaana Kam Kardo, Phr Chahay Kisi Ka Ghar Ho, Bat Ho, Yad ho, Ya Dil..!

simraan
 

Har ibadat Ki Qaza Hai Laykin insaan Ka Dil Tornay Ki Qaza Nahin..!

simraan
 

پہلے تو اک داســـتان لکھی جائے گی اســـکی ہنسی پہ
پھر تاریخ کــــے اوراق میں رکھـــــے گا اســـے زمانہ!!

simraan
 

Log Badaltay Nahin Bas Un Ki Zindagi Main Ham Se Behtar Log Aa Jatay Hain..!

simraan
 

Bura Waqt Wo Shafaaf Aaina Hai Jo Bohot Se Chehray Waazay Kar Daita Hai..!

simraan
 

Kisi Ko Aziyat Dainay Kay Baad Uskay Sabar Aur Khamoshi Se Daro..!