Ya Allah! Hmary gunaho ko maaf farma ..jis tarha tu ny Islam pr Zindagi di .islami ghrany mein paidah Kiya r aakhri Nabi.s.a.w.w ki ommat bna k ahsaas Kiya Ay Allah ! Hamari moot , hamara khaatma b Iman pr krna.Roz e Qayamat apny habeeb s.a.w.w ki shifaat naseeb frmaana jo log duniya se Chaly gaye on pr Rehm farma .onki rohu pr Rehm farma .onko jannat mein daakhil farma Ham Sb ko Qabar k aazab se door rakhna . Hamen naik amaal krny ki tofeq de Ya Allah .hamaary mulk Pakistan k halaat behtr farma .hamen Hazrat Umer Farooq r.a. jesa hukmraan ata farma Ya Allah Jo manga ha ata farma ..Jo nahi manga , bin maangy ata farma . Jo hamray Haq mein behtr ha , Hamari taqdeer mein likh de . Hamari doan ko sharf e Qaboliat ata kr .ameen
Allah Pak Ap Sb ko r apki families ko seht wali lambi omar ata kry . Apki Zindagi mein khushian bhar den. Tmaam gamon ko Ap se door kr den. Apki hr jaiz tamanna pori kr den . Apki azmaishu ko khatm kr den. Corona k is azaab se hum Sb ki hifazat frmaen. Humen apny walidain ka farmanbrdar Bnain . Onki khudmat r qadar krny wala bnaen . Onki wafaat k bad on k liye sadqa e jaria banaen . Achy ikhlaq wala bnaen. Buraiu se door Rehny ki toofeeq ata frmain. Ameen .Summa Ameen