Hoton pe mohabbat ke fasane nahi aate, Sahil pe samandar ke khazane nahi aate. Palken bhi chamk uthti hain sote mein humaari, Aankhon ko abhi khawab chhupane nahi aate. Dil ujadi huyi ek saraye ki tarah hai, Ab log yahan raat jagane nahi aate. Udne do parindon ko abhi shokh hawa mein, Phir laut ke bachpan ke zamane nahi aate. Is shehar ke badal teri zulfon ki tarah hain, Ye aag lagate hain bujhane nahi aate. Kya soch ke aaye ho mohabbat ki gali mein, Jab naaz hasino ke uthaane nahi aate. Ahbab bhi Ghairon ki ada seekh gaye hain, Aate hain magar dil ko dukhane nahi aate. !!
Dekh kar dil-kashi zamane ki Aarzu hai fareb khane ki Ae gham-e-zindagi na ho naraaz Mujh ko aadat hai muskurane ki Zulmaton se na Dar ke raste mein Roshni hai sharab-Khane ki Aa tere gesuon ko pyar karun Raat hai mishalen jalane ki Kis ne saghar ‘adam’ buland kiya Tham gain gardishen zaamane ki