Mein dekhta hoon to bus dekhta he rehta hoon
Wo a,eeney mein bhi apne he rang chod gaya
Youn to har shakhs akela hay bhari duniya mein
Phir bhi har dill k muqadar mein nahi tanhai
Mein khud tha apni jaan k peeche pada hua
Mera shumaar bhi to mere dushmano mein tha
Jinhe hum dekh kar jeete hen Atish
Wo log ankhon se ojhal ho gaye hen
Tumhari yaad ko aram e jaan banaya tha
Tumhari yaad bhi lekin kabhi kabhi ae
Kise milen kahan jaye k raat kali hay
Wo shaqal he na rahi jo diye jalati the
Ay yaad e dost aaj tu jee bhar k dill dukha
Shayed ye raat hijar ke aye na phir kabhi
Mujhe ye darr hay teri arzoo na mit jaye
Bhot dino se tabiyat meri udaas nahi
Hum tujhe Bhool k khush bethe hen
Hum sa bedard koi kiya hoga
Yeh alag baat k ghum raas hay ab
Is mein andesha e jaan tha pehle
Yaad k be,nishan jazeeron se
Teri awaz a rahi hay abhi
Ye kiya maqam e shoq hay na aas hay na pass hay
Ye kiya hua k labb pe tera naam a k reh gaya
Zindagi jis k dum se hay Atish
Yaad us ke azab e jaan bhi hay
Jahan bhi naam aye ga tumhara
Yaqeenan tazkira mera rahey ga