Damadam.pk
Atish11's posts | Damadam

Atish11's posts:

Atish11
 

Jane kiya darr hay k apne aap se
Bhagte rehne ke adat ho gayi

Atish11
 

Hijar ke raton k sung ankhon ko bhi
Jaagte rehne ke adat ho gayi

Atish11
 

Apne khali kamre mein tanha aksar
Mene deewaron pe shehar basaye hen

Atish11
 

Loat aye na kisi roz wo awara meezaj
Khol rakhte hen esi aas pe dar sham k baad

Atish11
 

Kiya batlaen kese kese jeevan sehna padta hay
Ik ik cheez se darr lagta hay phir bhi rehna padta hay

Atish11
 

Shayed wo phir udaas raha hay tamaam shabb
Dekho to kitna sard hay ankhon k paar chand

Atish11
 

Har aik khaar pe hanss hanss k paon dharna hay
Musafton k samundar mein youn utarna hay

Atish11
 

Jisam tapte pathron pe rooh sehraon mein the
Phir bhi teri yaad aesi the k jo chaon mein the

Atish11
 

Mein kis ko poochne nikloon kise talash karoon
Qadam qadam pe juda ho gaya koi na koi

Atish11
 

Ana ke Jung mein hum jeet to gey lekin
Phir us k baad bhot derr tak nidhaal rahey

Atish11
 

Ye to such hay chup rehne se pagal pann badh jata hay
Lekin pathar k is shehar mein akhir kis se baat kren

Atish11
 

Chahe koi jesa bhi humsufer ho sadiyon se
Rasta badalne mein derr kitni lagti hay

Atish11
 

Hum ird gird k mosam se jab bhi ghabrayen
Tere khiyaal ke chaon mein Beth jate hen

Atish11
 

Labon pe geet to ankhon mein khawab rakhte they
Kabhi kitabon mein hum bhi gulab rakhte they

Atish11
 

Tu hay sooraj tujhe maloom kahan raat ka dukh
Tu kisi roz mere ghar mein utar shaam k baad

Atish11
 

Shehar walon ke muhabbat ka mein qail hoon magar
Mene jis hath ko chooma wohi khanjar nikla

Atish11
 

Atish abad rahey ge duniya
Hum na hon gey koi hum sa hoga

Atish11
 

Dekhte dekhte taron ka safur khatm hua
So gaya Chand magar neend na ae mujh ko

Atish11
 

Dill tapakne laga hay ankhon se
Ab kise raaz,dan kare koi

Atish11
 

Zara c derr theharne de ay gham e duniya
Bula raha hay koi baam se utar k mujhe