Allama Iqbal
Hum jo jeete they jango ke mussibat k liye
Or marte they to naam ke azmat k liye
The na kuch tegh zani apni hukumat k liye
Sarr ba,kaff phirte they kiya dehar mein dolat k liye?
Qoam apni jo zarr o maal e jahan par marti
Butt faroshi k ewaz butt shikni q karti?
Jeete(zinda). Azmat(bada,e).
Tegh zani(talwar bazi).
Sarr ba,kaff(sarr pe kafan bandhe). Dehar(zamana)
Zarr o maal(khazana,dolat)
Butt faroshi(butt bechna)
Butt shikni(butt todna)
Allama Iqbal
They hum bhi aik tere marka araon mein
Khushkiyon mein kabhi ladte kabhi dariya on mein
Deen azane kabhi Europe k kalisaon mein
Kabhi Africa k tapte huey sehraon mein
Shan ankhon mein na jachti the jahan,daron ke
Kalma padhte they hum chaon mein talwaron ke
Marka ara(ladne wale). Kalissa(girja). Sehra(registaan). Shan(izzat)
Jahan,daro(badshah)
Allama Iqbal
Bus rahey they yahin saljooq bhi turani bhi
Ehle cheen' cheen mein Iran mein sasani bhi
Esi mamoorey mein abad they younani bhi
Esi duniya mein yahoodi bhi they nissrani bhi
Par tere naam par talwar uthae kisne?
Baat jo bigdi hue the wo bnae kisne?
Mamoorey(abad zameen).
Allama Iqbal
Hum se pehle tha ajab tere jahan ka manzar
Kahin masjood they pathar kahin mabood shajar
Khogar e pekar e mehsoos the insan ke nazar
Manta phir koi ann dekhe khuda ko q kar
Ajab(ajeeb) masjood(sajda k laiq). Mabood(ebadat k laiq). Khogar(aadi). Pekar e mehsoos(zahir). Ann dekhe(begheir dekhe)
Kiya mosam they kiya shaame then kiya rahen then kiya rahi they
Ik ladki kuch deewani c ik ladka pagal awara
Naam aya bhi to kin naamo mein
Ja mile ishq k na,kamo mein
Dill mein dard dabo lete hen
Tanhai mein ro lete hen
Is trah jese sabhi hum se mile piyaar k sath
Hum kisi se na mile tum se mulaqat k baad
Socha use to hum ne na milne ke thaan le
Dekha use to sare bahane badal deye
Khole hen teri yaad ne lipte huey lamhe
Ankhon mein tere akss ka num khilne laga hay
Muddat se chupaya hua ghum khulne laga hay
Awara meezaji ka bharam khulne laga hay
Hum ko nahi maloom k ujde huey dill se
Awara meezaji ka asar q nahi jata
Itne chup chaap k raste bhi rahen gey la,ilm
Chod jaye gey kisi roz nagar sham k baad
Meri wo baten Jin pe be,ikhtiyar hansta tha khil,khila kar tu
Bichadne wale meri wo baten kabhi rulaen to loat ana
Kiya baat hay sadko pe utarti nahi ronaq
Kiya bhed hay is shehar se darr q nahi jata
Is darr se k katt jaye na be,nayi k reshey
Ankhon ne teri rah se hatt kar nahi dekha
Tumhara piyaar chup chup kar kayi chehre badalta hay mujhe tum yaad ate ho
Tumhara hijar shiddat se mere dill ko masalta hay mujhe tum yaad ate ho
Wo thehra thehra sa pani wo suljha suljha sa mosam
Mein uljha uljha sa shayer mein thehra pagal awara
Udaas shamen ujaad raste kabhi bulayen to loat ana
Kisi ke ankhon mein rut,jagon k azab aye to loat ana
Mein tere baad dill mein har trah ka rog paloon ga
Mein tere baad khushiyon ka sama rehne nahi doon ga
submitted by
uploaded by
profile:
Sorry! Ap apne item ya profile ko report nahi kar saktey, na hi apne ap ko block kar saktey hain