Boht majbur hain hamdam Na itna Yaad aoo tum Na yun itna sataoo tum K itna Yaad aa kar yun Hamain pagal banao tum Faqat itna bata do k Hamarii jaan lo gy kia?? Magar ye bhi haqeqat hai Tumhari Yaad he to hai Joo har pal sath rehtii hai Khushii main bhi Ghamon main bhi Udasi k palon main bhi Tumhari Yaad he to hai Joo har pal ye batatii hai Mujhe ehsas dilatii hai K hum tum bin adhurey hain K hum tum say he porey hain
Pichle pehar ki raat thi Tanhai or teri yaad thi Chand ni mujh se kaha kon ha Main ni kaha koi sath nhe Bola zindagi kasi hai Main ni kaha kuch khaas nhe Bola phr kia chahte hoo Main ni kaha koi Aas nhe Bola tum ni pyar kiya hai Main ni kaha kuch yaad nhe Bola tumhare sath bhi dhoka howa Main ni kaha aisi koi baat nhe Bola phir tum ni zaroor pyar kiya hai Or ab wo tare sath nhe
Main kisi our ki hoon itna bata kar royi Wo mujhe mehindi lage hath dikha kar royi Main be-Qasoor hoon qudrat ka faisla hai Yahi lipat k mujh sy wo bus itna bata kar royi Mujh py ak karb ka tofan ho gaya os pal Jab mare samne khat mera jala kar royi Mari nafrat our adawat peghal gaye pal main Wo bewafa hai to kiu mujh ko rula kar royi Sub shikwy mare ak pal main beh gaye Jeel c ankhon main jab wo anson saja kar royi
Na shab-o-roz achay hai na hal acha hai Kise joogi ni kaha tha k ye saal acha hai Main ni pocha k wafa muqaddar main hai Muskuraty howy bola k sawal acha hai Wo mera hath dakhty howy bola Tum par muqaddar ka zawal acha hai Main ni pocha mari qismat main kiya likha hai Maathay pe shikan daalay mujh sy kehnay laga Tu tanha tha tu tanha hai or tu tanha he acha hai
Tum kiu bany thy dil ka sahara Jwab do? Ab kahan hai wo pyar tmhara Jwab do? Kis ko tha naz apni adaon pe har ghari Kis ni kiya wafa sy kinara Jwab do? Ham to seh na saken gay judai ka ghum Ye Qool tha mera k tmhara Jwab do? Ek tarf zindagi ek tarf mout hai Ab kis tarf karo gay ishara Jwab do