Bhul jaana yaaron itna aasan nahi hota,
zakhmo ke nishaan mitaana aasan nahi hota.
Mana ho jisne yaar ko khuda,
unko chhor jaana asaan nahi hota..
Bewafa toh woh khud thi.
Ilzaam kisi aur ko deti hai.
Pehle mera naam tha uske hothon par.
Suna hai woh ab naam kisi aur ka leti hai.
Barso guzar gaye ro kar nahi dekha,
aankhon mein neend thi so kar nahi dekha,
wo kya jaane dard-e-mohabbat ko,
jisne kabhi ro kar nahi dekha.
Akaash chhune ki tamanna leker jis dor ke sahaare hum akaash mein ud chale.
Hume kab pata tha ke wo dor toot jaayegi,
jo kabhi apni thi wo duniya chut jaayegi.
Ab na rula paaoge kabhi,
chalo zindagi ka ye haal kiye dete hai,
ek pathar pe likhte hai naam tera aur seene pe usse rakh lete hai.
sab ki sab biwafa or matlb
ufff ya gareem kab khatm hoge
all frnds jumma mobark ho dil se
koi kise ka nh sb matlb hi
dil kart hi sb ko mar do
sab ki sab biwaf or matlb
kab payar nh karn serf tim pas hota hi yd rahi
Ab to apni tabiyat hi juda lagti hai,
saans leta hu zakhamo ko hava lagti hai,
kabhi raazi to kabhi khafa lagti hai,
ae zindagi tuhi bata tu meri kya lagti hai.
Agar tumko hai mere aansuon ka haal dekhna,
to aa kar kabhi mera bhiga rumaal dekhna,
bolte nahi kabhi aansoo mere,
par puchte hai kitne sawaal dekhna.
follow nh karo
Aaj phir aaina puchta hai ki teri aankhon mein nami kyun hai,
jiski chahat mein khud ko bhula diya phir uski chahat mein kami kyun hai.
Beshak wo mere khyaalo mein khoyi hogi,
gharwalo se chupa kar palke band karke soyi hogi,
aankh mein aansu to nahi par wo meri yaad mein jarur royi hogi.
Aapki yaad dil ko bekraar karti hai,
nazar talaash aapko bar-bar karti hai,
gila nahi jo aap door hain humse,
aapki to judaai bhi humse pyaar karti hai.
Koi Achhi Si Saza Do Muje,
Chalo Aisa Karo Rula Do Mujhe,
Dil Dukhaya Ho To Maut Aa Jaye Mujhe,
Dil Ki Gehrai Se Ye Dua Do Mujhe..
Jo Wada Kiya Hai Wo Nibhana Hoga,
Ek Din Laut Kar Tumhe Aana Hoga,
Dil Todkar Muskura Rahe Ho Aaj,
Dekhna Ek Din Tumhe Bhi Pachtana Hoga..
submitted by
uploaded by
profile:
Sorry! Ap apne item ya profile ko report nahi kar saktey, na hi apne ap ko block kar saktey hain