Kanto’n se dil lagao key taa-umar saath dain. .
Phoolon ka kia jo sans ki garmi na seh sakain .
Muhabbat key safar mein
aaj phir souchti hun
kitney din huay hein
tum ko dekha nahi
goya
kitney din huay hain
khud ko mili nahi
janey kab milo gay
lekin Jab milo gay
mein khod ko ainey mein
dekhlun gi
muhabbat key safar mein
aaj phir sochti hun. . !
Youn to pas sey hazar bar guzra
Aaj is liye aya key bemar tha
Sarkash lehja aur mathey pey bal
Janey isey jis cheez ka khumar tha
Wo ghusey mein aur bhi nikharta jar aha tha
Ye us ka husn tha ya mera piyar tha
Husn hai zaat meri ishq sifat hai meri
Hoon tou mein shama magr bhais hai parwanay ka. . !
Muhabbat mangny ki shae nahi jo maang li jaye
Kisi ko kab kahan ye raas aai hai
Ye hum se aaj kehty ho?
Suno Janaa’n! Tumhain bhi yaad to ho ga?
Yehi to ibtada mein hum bhi kehty thy
Magar tum ne tou is ki khud nafi kar di thi pal bhar mein
Kaha tha us gharri tum ne
Muhabbat mangny se mil bhi jati hai
Magar ye shart hai jo mangta ho dil se wo mangy
Aur hum ne akhir tum ko ye daulat sonp di lekin
Wafa tum kar nahi paaye
Tum ab aaye ho barso’n baad
Aur ye hum se kehty ho
K hum tum ko bhula baithy
Tumhary khat jala baithy
Humain laazim tha ye, Ta umer baithy rasta taktay
Gharri bhar ko nahi thaktay
Baja kehty ho, such kehty ho, kab inkaar hai hum ko
Suno hum thak gaye hongy. . !
Mein aaj boht udaas hoon
koi nahi
Jis dil se veerani baant saku’n
Koi nahi
Jo mery behtay aansuo’n ko rok sakay
Koi nahi
Jo ik zara harf-e-tasalli de
koi nahi
Jo muskura k kahay
“Apni hasaas aankho’n ko takleef na de”
Ye moti merey dil pe girty hain
Koi nahi
Agar hai tou bolta kyun nahi hai. . !
🙄🙄😏🙃
Jo mananay k fun se waqif hon
Wohi aksar khafa bhi hotay hain. . !
Jo baray ba-wafa se dikhty hain
Wo baray be-wafa bhi hoty hain
Jo theherty hain zeest ka haasil
Wohi lamhay saza bhi hoty hain
Hum ko itni khabar nahi hoti
Hum kisi ki dua bhi hoty hain
Jo bicherny ka wehem rakhtay hain
Wohi aksar juda bhi hoty hain. . !
Suno Janaa’n
Boht be-sakooni hai hamari zaat mein
Boht masroof rehna parr raha hai. .
Boht se kaam hain
Jo apny zimmay ley rakhay hain
Magar, inhi saray jhamelo’n mein
Tumhari yaad ka wo aik jugnu, ab chamkay to
Ye aankhain bheeg jati hain.
Tumhari yaad k roshan sitaray timtimatay hain
Tou dil bujh sa jata hai
Hawa ko sub pata hai
Mery dil ki khabar hai
Meri palkon k aansu
Khud mein jazb kar k num c ho jati hai. . !
Suno Janaa’n
Boht hi be-sakooni hai hamari zaat mein
Lekin
Tumhain hum yaad karty hain
Tumhain ab bhi
Boht hum pyar karty hain.
Teray chehray ki shafaq subha, saba choomti thi
Teri raato’n ki sayah zulf ghata choomti thi
Teri saanso’n se churaai thi gulabo’n ne mehek
Thi sitaro’n se siwa teri in aankho’n ki chamak
Meray ae sheher-e-Muhabbat Kabhi aabaad tha tu
Tu ne ik zod faramosh ko apna jana
Such samajh baithy thy sapnay ko na sapna jana
Ab tou kuch bhi nahi baaqi
Naa wo mein hoon na wo tu
mery ae sheher-e-Muhabbat
Kabhi aabad tha tu. . !
Kahani phir chali aai mujhy milny. .
Sukhi! Kaisi guzarti hai?
mery honto pe taalay dekh kar wo chonk c uthi
Wo kuch pal soch kar boli!
Sukhi tu heer jaisi hai. .!
Sukhi! tu zeher ka pi kar piyala jee rahi hai kyun?
Tera “ranjha” to kaido se bhi kuch barh kar hi thashayad
Sukhi, behtar tha “Khairro’n” k hi ghar ko tu basa leti
Unhein apna bana leti, unhein hi aazma leti
Sukhi tu tootti jurti hui zanjeer jaisi hai
miti tehreer jaisi hai
Luti jageer jaisi hao.
Sukhi! Tu HEER JAISI HAI. . !
Mujhy tum se nahi milna. .
Agar miltay milatay
yunhi hanstay hansaatay
Yunhi mantay manatay. .
Muhabbat Ho Gai TOu Phir?
🤭🙋😏😉
Hawas jab dil mein apna ghar bana leti hai
Hawas jab fikr ki matti mein,
Apna sir utha leti hai
Hawas ko zindagi mehvar kisi pal bhi banati hai
Hawas chaaro’n taraf ik aag si jis per lagati hai
hawas jab jeet ko sir per sajati hai
usi lamhay
MUHABBAT HAAR JATI HAI. . !
Suno Jana!
muhabbat mein kisi ko panay ki ujlat
Dikha kar kia mila tum ko?
kabhi socha?
kabhi socha k tum ne mujh ko bhi to khaali khaali
jhootay raisham k hi dhaago’n mein
Ulajhney ki saza di hai
Suno! Mein ne tumhara kia bigara tha?
Ye sab kuch kyun kiya tum ne?
Mujhy youn zindagi se badguma’n kar k bhala kia paa liya tum ne?
Abhi bhi wakt hai tum rok lo, titli ko marney se
Khushbu’on ko nikherny se
Wagarna kal tumharay haath
yaado’n ki zara si raakh hogi aur kuch bhi to nahi ho ga
Abhi bhi wakt hai tum rok lo
Titli Ko Marnay Se.
Muhabbat rait jesi hai. . !
kisi bhi band muthi mein
magar ye bhi haqeeqat hai.
Achanak be-khayali mein
Bina sochay Bina samjhay
Yunhi bus be-irada hi
Ye muthi khul bhi jati hai
Wo jazba hai jo dil k nehan khanay mein jab utrey
To andheyaro’n mein goya roshni bhar de
Agar mitti ko choo lay tou usey rashk-e-qamar kar de
Ye tapti dhoop ko pal mein ghata kar de
Ye khuwahish ko dua kar de
Ye dharkan ko sadaa kar de
Kisi bhi aam jazbay ko wafa kar de
Dukho’n se maawra kar de
ye jab chahay badan mein rooh phoonkay
aur jab chahay riha kar de
to socho kis tarha mujh ko nahi idraak is shae ka
Mujhy ehsaas hai jana!
Mujhy is ka yaqeen bhi hai.
Tumhain mujh se muhabbat hai. . !
Kia wo tum hi ho
Wo jo koi meri socho’n mein hai
Rag-e-jaan se bhi aagay hai
Zara batlao to jana
Wo mera kon laagay hai?
Preet k rung mein tan man rung kar. .
Apni sudh budh kho baithay gi
Raikhao’n ko ro baithay gi
Dekh saheli youn na karna
Preet ki agni se tu darna. . !
Preet na karna. . !
Muhabbat tum ne danista ganwaai thi. . !
Tou behtar hai k ab us ko bhula daalo
K ab pachtanay se bhi kuch nahi hoga
Ye tum ko baarha hum ne kaha bhi tha
Suno jana’n!
Gulabo’n se ye lamhay hain
Inhein khonay se pehlay hi sambhal jao
Khiza’n se dosti karna nahi acha
Magar tum ko tou zid si thi mitanay ki, jalanay ki, ganwanay ki
Jo tum ne aag bharkai thi haatho’n se
Tumharay apny daaman tak bhi aa pohnchi tou rotay ho?
Suno! pachtanay se bhi kuch nahi hoga
Muhabbat tum ne danista ganwaai thi.
To behtar hai k ab usko bhula daalo. .
Sochoon to saari umar mohabat me katti hai,
Dekhoon to ik shakhss bhi mera nahi huaa.
😏
Dil-e-nadaan tujay huwa kaya hai,
Aakhir iss dard kee dawa kaya hai,
Hum hain mushtaq aur wo byzaar,
Ya ilahe ye maajra kaya hai,
Main b moun may zaban rakhti huun,
Kash puchun K madda kaya hai,
Jab k tujh bin nahi koi majood,
Phir ye hangama ay khuda kaya hai
Aapne Hi Shehar K Log Satane Lage,
‘Yar Apni Mahfil Se Uth K Jane Lage,
‘Jab B izhar E Jazbat Chaha Main Ne,
‘Log Apna Apna Dard Sunane Lage,
‘Hamare Naam Se Chalti Thi Jinki Sansein Kbhi,
‘Aaj Wohi Hum Se Nazren Churane Lage,
‘Kya Khabar Thi K Ik Pal Mein Bichar Jaye Ga Wo,
‘Jise Apna Bnane Mein Zamane Lage,
‘Kya Karon Nazron Se Hat’ta Hi Nahi Wo Manzar,
‘Jab Haath Chhura Kar Mera Wo Jane lage
submitted by
uploaded by
profile:
Sorry! Ap apne item ya profile ko report nahi kar saktey, na hi apne ap ko block kar saktey hain