Sham sy pehlay ik diya jalana chahti hon ,
Main aj apni mohabat ko aazmana chahti hon ,
Yeh aana parast log hai andr sy tootay huye ,
Main yeh baat duniya walon ko btana chahti hon ,
Teri zaat ki mehroomiyan tera man ki yeh udaasiyan ,
Mujhy moka to dy main inhay mitaana chahti hon ,
Tere hath mera rehbar tere naksh paa meri manzil k
Tujhay main chillchilate dhoop main aanchal bnana chahti hon ,
cheen lo saharay mujh sy apnay piyaaray saray mujh sy
Bs do hosla mujhay main khud ko manvana chahti hon ,
poocha jo yaaro nay muskurahat ka sbab
to kehnay lgi main hansi k pardy main dard apna chupana chahti hoon
Qaafilon ke qaafiley qadmon ke nishaan chorr gaye,
Aik hamara hi dard tha jo hijrat na kar sakaaa..
Aur bhi kar deta hai dard mein izaafa,
Tere hotey huye sab ka dilaasa dena
Mein roz pilaati hoon usey zeher ka peyaala,
Ek dard jo andar hai, martaa hi naheen..
Hai shoq-e-safar aesa ke ek muddat se hum ne,
Manzil bhi nahin paayi, aur rasta bhi nahin badla..
Zabt kehta hai khamoshi me bassar ho jaye,
Dard ki zidd hai duniya ko khabar ho jaye..
Jise khud se hi nahin furstain,
Jise khayal apne kamaal ka,
Usey kya khabar mere shoq ki,
Usey kya pata mere haal ka
ππ
Agar mohabbat ki hadh nahin koi,
Dard ka hisaab kyun rakhoon ?
Kon tha woh jo tha apne shab-o-roz mein gum,
Mar gaye jis ki mandderon* pe kabooter mere..
Mili sazaa jo mujhe wo kisi khataa pe na thi,
Mujh pe jurm jo sabit hua woh wafa ka tha..!!
πποΈ
Harf likhne se gaye, sher sunaney se gaye,
Aese hum tujh mein huye gum ke zamaney se gaye..
ππ
Ik ghazal Meer ki parhta hai parrosi mera,
Ik nami si meri deewar mein aa jati hai..
Dard mene kamaa liye kaafi,
Zabt ki abb zakaat wajib hai..
Mujhey chor de mere haal per tera kia bharosa hai chara-gar,
Ye teri nawazish e mukhtasar mera dard aur barha na deβ¦
Lehje se utth rahi thi dastaan-e-dard,
Chehra bata raha tha ke sab kuch ganwaa diya..
us shakhas ny
ππ€π
Abhi to hum raakh huye hain firaaq mein,
Abhi to bikharne ka khail baaki hai..
πππ
Itni mazbooti se viraanon ke dar band kiye,
Dil mein utri na koi zaat teri zaat ke baad..
Phir us ke baad zamane ne mujh ko rond* diya,
Main gir parri thi kisi aur ko uthaate huye
Mere sabar per koi ajar kya meri dopehar per koi abar kyun,
Mujhe orrhne de aziyatain, meri aadatain na kharab kar..
Lagta hai ik baar phir mohabbat ho hi jaye gi,
Raat phir khawb main khud ko marte dekha hai..
submitted by
uploaded by
profile:
Sorry! Ap apne item ya profile ko report nahi kar saktey, na hi apne ap ko block kar saktey hain