Damadam.pk
MERY@PASS@TUM@HO's posts | Damadam

MERY@PASS@TUM@HO's posts:

MERY@PASS@TUM@HO
 

Tujh Ko Khabar Nahin Mager Ek Sada Sun Lay
Barbaad Kar Diyaa Tere Do Din k Piyaar Ne...!

MERY@PASS@TUM@HO
 

Himat Nahi Hai K Dastan-E-Zindagi Apni Sunaa Sakain
Mukhtsir Sunoo, Jiss Ne Bi Dil Tora, Ji Bhar K Tora..

MERY@PASS@TUM@HO
 

Jab Saza De Hi Chuke Ho to Haal Na Pochna Hum
Agar Be Gunah Nikle To Tumhain Afsoos Hoga..

MERY@PASS@TUM@HO
 

Dil Bhi Gustakh Ho Chuka Tha
Shukar Hai Ap Bewafa Nikle..!

MERY@PASS@TUM@HO
 

Kya Bura Hai K Mein Iqrar-E-Muhabbat Kar lon....!!
Log Wese Bhi To Kahte Hain Gunah-Gaar mujhe...

MERY@PASS@TUM@HO
 

Dil Juda Hun to Mulaqat Ka Kia Faida,
Yun To Sahil Bhi Samandr Sy Mila Krta Hai.!

MERY@PASS@TUM@HO
 

Us Ne Kaha Mujhe Bhool ja Maine Tumhain Dil Se Nikal Diya Hai
Sukoon Mila Ye Sun Kar K Kabi Tu Us K Dil Main The.!

MERY@PASS@TUM@HO
 

Ziban Par Mohar Lagana To Koi Baat Nahin
Badal Sako To Badal Do Mere Khayalon ko..!

MERY@PASS@TUM@HO
 

Zindagi Ka Ye Hunar Bhe Azmaana Chaheyay
Jang Kisi Apnay Se Ho To Haar Jana Chaheyay..!

MERY@PASS@TUM@HO
 

Aaiay Baithiyay Hukam Kijiyay Kia Paish Karon
Khawab Haazir Armaan Haazir Dil Haazir Jaan Haazir

MERY@PASS@TUM@HO
 

Zamana Kehta Hai Bari Dilkash Hain Meri Aankhain
Unhain Kia Maloom Mera Yaar Basa Hai In Main..!
زمان

MERY@PASS@TUM@HO
 

Rang tha roshni thi, qayamat tha,
Jis pe hum mar mittey qayamat tha,
Khush jamalon mein dhoom thi apni,
Naam us ka bhi wajah-e-shohrat tha,
Khawab tameer ban kar atey they,
Kya ajab mausam rafaqat tha,
Aik aik saans qurbton ka gawaah,
Har nafss lamhaa-e-ghaneemat tha,
Aur phir yun hua ke toot geya,
Woh jo ik rishta-e-mohabbat tha....
Mai Tabassum Høn To Høntøn Pe Sajaaly Mujh kø..

MERY@PASS@TUM@HO
 

"Parveen Shakir"
Main Apni Dosti Ko Sheher mein Ruswa Nahi Krti.
Mohabbat Main Bhi Krti Hoon Magar Churcha Nahi Krti.
Jo Mujh Se Milny Aa Jaye Main Us Ki Dil Se Khadim Hoon.
Jo Utth K Jana Chahay Main Usy Roka Nahi Krti.
Jisy Main Chhor Deti Hoon Usy Phir Bhool Jati Hoon.
Phir Us Hasti Ki Janib Dekha Nahi Krti.
Tera Israar Sarr Aankhon Pe K Tum Ko Bhool Jaaoon Main.
Main Koshish Kar K Dekhoon Gi Magar Waada Nahi Krti.

MERY@PASS@TUM@HO
 

Ajab apna hal hota jo visal-e-yar hota
kabhi jan sadqe hoti kabhi dil nisar hota
na maza hai dushmani main na hai lutf dosti main
koi gair gair hota koi yar yar hota
ye maza tha dillagi ka k barabar ag lagti
na tumhen qarar hota na hamain qarar hota
tere wade par sitamagar abhi aur sabr karte
agar apni zindagi ka hamain aitabar hota

MERY@PASS@TUM@HO
 

Ajab apna hal hota jo visal-e-yar hota
kabhi jan sadqe hoti kabhi dil nisar hota
na maza hai dushmani main na hai lutf dosti main
koi gair gair hota koi yar yar hota
ye maza tha dillagi ka k barabar ag lagti
na tumhen qarar hota na hamain qarar hota
tere wade par sitamagar abhi aur sabr karte
agar apni zindagi ka hamain aitabar hota

MERY@PASS@TUM@HO
 

Gungunatey huye lamhon main usey,
Dheyaan mera kabhi aaya ke nahin..

MERY@PASS@TUM@HO
 

Ik umar ke baad us ko dekha,
Aankhon mein sawaal they hazaaron,
Honton pe magar wohi tabasum,
Chehrey pe likhi huyi udaasi,
Lehjey mein magar balaa ka thehrao,
Awaaz main goonjti judai,
Baanhen thi magar wisaal-e-samaan,
Simtti huyi baazuyon mein,
Taa’der mein sochti rahi thi,
Kis abr-e-gurez paa ki tarah,
Main kis shajar se katt gayi thi,
Kis chaaon ko tark kar diya tha,
Main us ke galey lagi huyi thi,
Woh ponchh raha tha mere aansu,
Lekin barri dair ho chuki thi..

MERY@PASS@TUM@HO
 

Aankhon mein sawaal they hazaaron,
Honton pe magar wohi tabasum,
Chehrey pe likhi huyi udaasi,
Lehjey mein magar balaa ka thehrao,
Awaaz main goonjti judai,
Baanhen thi magar wisaal-e-samaan,
Simtti huyi baazuyon mein,
Taa’der mein sochti rahi thi,
Kis abr-e-gurez paa ki tarah,
Main kis shajar se katt gayi thi,
Kis chaaon ko tark kar diya tha,
Main us ke galey lagi huyi thi,
Woh ponchh raha tha mere aansu,
Lekin barri dair ho chuki thi..

MERY@PASS@TUM@HO
 

Aankhon mein sawaal they hazaaron,
Honton pe magar wohi tabasum,
Chehrey pe likhi huyi udaasi,
Lehjey mein magar balaa ka thehrao,
Awaaz main goonjti judai,
Baanhen thi magar wisaal-e-samaan,
Simtti huyi baazuyon mein,
Taa’der mein sochti rahi thi,
Kis abr-e-gurez paa ki tarah,
Main kis shajar se katt gayi thi,
Kis chaaon ko tark kar diya tha,
Main us ke galey lagi huyi thi,
Woh ponchh raha tha mere aansu,
Lekin barri dair ho chuki thi..

MERY@PASS@TUM@HO
 

Tamaam raat mere ghar ka aik dar khulaa raha,
Mein raah dekhti rahi woh raasta badal geya..
Parveen shakir