Damadam.pk
MERY@PASS@TUM@HO's posts | Damadam

MERY@PASS@TUM@HO's posts:

MERY@PASS@TUM@HO
 

Ku-ba-ku phail gai bat shanasai ki,
Us ne khushbu ki tarah meri pazirayi ki,
Kaise kah dun k mujhe chor diya hai us ne,
Bat to sach hai magar bat hai ruswayi ki,
Wo kahin bhi gaya lauta to mere pas aya,
Bas yahi bat hai achi mere harjai ki,
Tera pahlu tere dil ki tarah abad rahe,
Tujh pe guzre na qayamat shab-e-tanhai ki,
Us ne jalti hui peshani pe jo hath rakha,
Rooh tak aa gayi tasir masihayi ki..

MERY@PASS@TUM@HO
 

Woh aik rishtah be naam bhi nahi lekin
Mein ab bhi us kay isharon peh sar jhukayon gi
Bicha dia tha gulabon kay sath apna wajood
Woh so kay uthe to khawabon ki Raakh uthaon gi
Samayaton mein ghanay jangalon ki sansein hain
Mein ab kabhi teri aawaz sun na payon gi
Jawaz dhoond raha tha nayi muhabbat ka
Woh keh raha tha keh mein us ko bhool jayon gi.

MERY@PASS@TUM@HO
 

Kamal zabt ko khood bhI to aazmayon gi
Mein apnay hath say us ki dulhan sajaon gi
Supard kar kay usay chandni kay hathon mein
Mein apnay ghar kay andheron ko lot aaongi
Badan kay karb ko woh bhi samajh na paye ga
Mein dil mein royungi, aankhon mein muskuraon gi
Woh kia gia keh rafaqat kay saray lutf gaye
Mein kis say rooth sakon gi, kisay manayon gi
Ab us ka fun to kisi aur say hua mansoob
Mein kis ki nazam akelay mein gun'gunayon di

MERY@PASS@TUM@HO
 

Pura dukh aur Aadha Chaand
Hijr ki shab aur Aisa Chaand
Itne ghane Badal k piche
Kitna tanha Hoga chaand
Meri karavat par Jag uthe
Neend ka kitna Kachcha chaand
Sehra sehra Bhatak raha hai
Apne ishq mein Sachcha chaand
Raat k shayad Aik baje hain
Sotaa hoga meraChaand

MERY@PASS@TUM@HO
 

Kuch to hawa bhi sard thi, kuch tha tera Kheyal bhi
Dil ko khushi k sath sath hota raha Malal bhi
Baat wo aadhi raat ki, raat wo poore Chaand ki
Chaand bhi ain cheet ka is per tera Jamal bhi
Sab se nazar bacha k wo mujh ko kuch aise dekhta
Aik dafya to ruk gaii Gardish Mah-o-Sal bhi
Dil to chamak sakey ga kia, phir bhi Tarash ke dekh lein
Shishah gerane shahar ke hath ka yeh Kamal bhi

MERY@PASS@TUM@HO
 

Wo sunta to main kehta,mujhe kuch aur kehna tha,
wo pal bhar ko jo ruk jata,mujhe kuch aur kehna tha.
kamai zindagi bhar ki,usi k naam to kar di,
mujhe kuch aur karna tha,mujhe kuch aur kehna tha.
kahan us ne suni meri,suni b un-suni kar di,
usay maloom tha itna,mujhe kuch aur kehna tha.
meray dil main jo dar aya,koi mujh main b dar aya,
waheen ik rabta toota,mujhe kuch aur kehna tha.
rawan tha piyar NUS NUS main,bohat qurbat thi apis main,
usay kuch aur sun-ana tha,mujhe kuch aur kehna tha.
ghalat fehmi ne baton ko barha dala younhi warna,
kaha kuch tha,wo kuch samjha,mujhe kuch aur kehna tha.

MERY@PASS@TUM@HO
 

Once More Your Open The Door. ...

MERY@PASS@TUM@HO
 

Wafa ki Aarzoo karna!
Safar ki justujoo karna!
Jo tum mayoos ho jaao!
Tou mujh se guftugoo karna!
Ye aksar ho bhi jaata hay!
K koi kho bhi jaata hay!
Muqaddar ko sataao gay!
Tou phir ye so bhi jata hay!
Agar tum hosla rakho!
Wafa ka silsila rakho!
Jisey tum apna kehtay ho!
Tou us se raabta rakho!
Main ye daavy se kehta hon!
Kabhi naakam na hogy!
Mohabhat ko samajh jaao!
Kabhi badnaam na hogay

MERY@PASS@TUM@HO
 

Wafa ki Aarzoo karna!
Safar ki justujoo karna!
Jo tum mayoos ho jaao!
Tou mujh se guftugoo karna!
Ye aksar ho bhi jaata hay!
K koi kho bhi jaata hay!
Muqaddar ko sataao gay!
Tou phir ye so bhi jata hay!
Agar tum hosla rakho!
Wafa ka silsila rakho!
Jisey tum apna kehtay ho!
Tou us se raabta rakho!
Main ye daavy se kehta hon!
Kabhi naakam na hogy!
Mohabhat ko samajh jaao!
Kabhi badnaam na hogay

MERY@PASS@TUM@HO
 

[Main aur Meri Awargi]
Hum bhi kabhi abad thay
Aisy kahan barbad thay
Be fikr thay azad thay,
Masroor thay dilshad thay
Wo chal aisi chal gya,
Hum bujh gae dil jal gya,
Niklay jala k apna ghar,
"Main aur Meri Awargi"
Ye dil hi tha jo seh gya
Wo bat aisi keh gya
Kehnay ko phir kya reh gya
Ashkon ka darya beh gya
jab keh k wo dilber gya
Tere liye main mar gya
Roty hein us ko raat bhar
"Main aur Meri Awargi".....

MERY@PASS@TUM@HO
 

Zakhm-e-tanhai me khushbo-e-hina kis ki thi
Sayaa devaar permera tha, sada kis ki thi
Uski raftar se lipti raheen ankhen meri
Usne murr kar bhi na dekha k wafa kis ki thi
Ansuon se hi bhar gaya daman mera
Haath tu main ne uthaye thy dua kis ki thi
Meri Aahoun ki zuban koisamajhta keise
Zindagi itni dukhi mere sivaa kis ki thi
Aag se dosti uski thi, jala ghar mera
Di gai kis ko saza aur khata kis ki thi

MERY@PASS@TUM@HO
 

Ek jurm hua hai hum say, ek dost bana baithay hain,
Kuch apna sa uss ko samaj kar, Sab raaz bata baithay hain
Phir uss kay pyar ki raah mein, Dil-o-jaan ganwa baithay hain
Wo yaad buhot hiaatay hain jo hum ko bhula bathay hain,
Iss jurm ki mili hai saza aisi,
Hum un sey juda ho baithay hain.

MERY@PASS@TUM@HO
 

PATA NAHI Q ?
Khawb bikhar jate hain dhere dhere
Saray log bichar jate hain dhere dhere
Zabt karo to behtar hay warna
Ansoo zor pakar jate hain dhere dhere
Sab irada ker ke sath chalte hain phir
Raste badal jatay hain dhere dhere

MERY@PASS@TUM@HO
 

Mere dil jo nahi qubool wohi log hn mere hum safar,
Mujhy hr trah se jo raas tha wohi shakhs mujh se bichharr gya.

MERY@PASS@TUM@HO
 

Gham se taari hain
Bohat kuch yaad aata hai
Bohat Mujh ko rulata hai
Suno,,,,,,,,,,,,,,,,
Ik kaaam kr do na
Yeh apni Baatein sari
Yeh apni Yaadein sari
Tum kyun le nahin jate ?
Jab aana he nahin Tum ne
Tou phir kyun yaad aate ho ?
Meri aankhon mein bn kr Ashk
Phir kyun ruk se jate ho ?
Suno Jaanam,,,,,,,,,
Main apne Zabt ka daman
Kahiin chor na baithon
Lout aao Mere Humdam
Ke Main khud ko tor na baithoon. . .*)

MERY@PASS@TUM@HO
 

*** KHAMOSH BAATEIN ***
Kabhi Aisa b Hota Hay
Zaban Kuch Keh Nahi Pati
...
Magar Sari Haqeeqat
In Aankhon Se Ayaan Hoti Hay
Isi Liye Shayed
Uss Ne Jab Sawal Kiya
k Mujh Se Bichad Kar
Kya Haal Hay Tumhara?
To Na Chahtey Hue b
Kuch Na Kehtay Hue b
Aankhon Se Behtay
Do Moti
Mujhay Door Kahin
Baha Kar Le Gaye...!!

MERY@PASS@TUM@HO
 

Buht Farsoda lagty hain mujy ab yar k Qisay,
Gul-o-gulzar ki bataien Lab-o-Rukhsar k Qisay,
yahan sb k Muqadr Mein fqat zkhm-e-judai hai,
Sbi jhotay fsanay hain Wisal-e-yar k Qisay,
Bhla ishq-o-Muhbt sy ksi ka pait bhrta hai,
Suno tmko sunata hun main kar-o-bar k Qisay,
Mery ehbab kehty hain yahi ik aib hai muj mein,
sar-e-dewar likhta hon pas-e-dewar k Qisay,
Main aksr esliye logon sy ja k nai milta
wohi beqar ki bataien wohi beqar k Qisay.

MERY@PASS@TUM@HO
 

“GAZAL”
Kab tak raho gaye aakhir yoon door door hum se,.
Milna prray ga aakhir ik din zaroor hum se,
Daman bachanay walay ye berukhi hai kesi,
Keh do agar huwa hai koi qusoor hum se.?
Hum chhor dain gaye tum se yoon baat cheet karna,
Tum poochtay phiro ge apna qusoor hum se.,
Hum cheen lain ge tum se ye shaan-e-benyazi,
Tum maangtay phiro ge apna garur hum se…!

MERY@PASS@TUM@HO
 

Firaq-E-yaar ki Barish malaal ka Mousam'
Hamare shehar mein utra kamaal ka Mousam'
Wo ik dua meri jo na'muraad loat aayi,
Zuban se roth gaya phir sawal ka Mousam'
Bohat dinon se mere zehan k darichon mein'
Thehar gaya hai tumhare khayal ka Mousam'
Jo Be-yakeen hon baharein ujarr b sakti hain'
Tu aa k daikh le mere zawal ka Mousam'
Muhabbatein b teri dhoop chaon jaisi hain'
Kabhi ye hijar kabhi ye wisaal ka Mousam
Koi Mila Hi Nahi Jisko Sonpte Dost
Hum Apne Khawab ki Khushbu Khayal ka Mousam..

MERY@PASS@TUM@HO
 

Once More Your Open The Door..
Taitanic....