Damadam.pk
Nauman_Khan's posts | Damadam

Nauman_Khan's posts:

Nauman_Khan
 

Alhamdulillah ❤️🖤

Nauman_Khan
 

Shiin khaal di Maza krhi pa da Spina tanda bandii...
Bal di lawangin jutai wahi pa ghaarha bandii...
🖤❤️🖤❤️🖤❤️🖤❤️🖤

Nauman_Khan
 

Mujhy samjaya na karo k ab tho ho chuki mujhko,
Muhabbat mashwara hoti tho tm say pooch kr krty,

Nauman_Khan
 

Wo ojhal meri nigahon se kahan rehta hy,
Wo ashk ban kar Aankhon se rawaan rehta hy,
Kisi lamhy tanha honay nahi deti uski yadein,
Mere Aangan mein maily ka samaan rehta hy,
Her garhi dil ka daricha khula rakhty hai,
Her garhi us ke aanay ka gumaan rehta hy,
Log kehty hai zakham bhar jatay hain aakhir,
Zakham bhar jatay hain lekin nishaan rehta hy,
Wo milay to itna bata dena usko,
Tujh bin Tera pyar preshaan rehta hy,

Nauman_Khan
 

Zara sahil pe aa kar wo jo thora muskura deta,
Bhanwar ghabra k khud mujh ko kinaray pr lga deta,
Wo na ata magar itna to keh deta main Aaon ga,
Sitaray, chand, Sara Aasman Raah ma bicha deta,
Khabar hoti agar ye jaal hai Qismat ki sazish ka,
Lakirain apne hathon ki main usi lamhe mita daita,
Shajar hota to Tera naam Patton par likh likh kar,
Tmharay shehar ki janib hawaon ma Urra deta,

Nauman_Khan
 

Wisal ka mosam guzar gaya to khayal ban kar mila karen gey,,
Bichar gaye to hum ikmah_e_saal ban kar mila karen gey..,
Kitab-e-ehad e wafa ke ik ik warq pe apni khabar miley gi..,
Hum Ahl_e_ulfat mohabbaton ki misal ban kar mila karen gey..,
Hazar lamho'n ki ho musafat dilo'n ki dharkan sunai de gi..,
Guzarte lamhon ki har sada mein dhamaal ban kar mila karen gey..,
Abhi to lamhon ki dooriyon per bhatak rahe hain magar kabhi hum..,
Falak ki gardish mein aa gaye to hilal ban kar mila karen gey

Nauman_Khan
 

Wohi Takrar Lafzon Ki,
Wohi Andeshey Furqat K,
Wohi Anjan si Dastk,
Wohi Hr Baat Py Ranjish,
Wohi Hr Baat Py Lrna,
Wohi Apni Kitaabon Mein,
Gulaabi Titliyaan Rakhna,
Wohi Be-Maani Baaton Mein,
Hamara Zikr Le Aana,
Wohi Muskaan Dheemi si,
Wohi Kuch Bolti Ankhein,
Wohi Chup Chaap Sa Lehja,
Wohi Be-Chain si Halchal,
Wohi Kehne Se Kuch Darna,
Wohi Saaye Se Ghabrana,
Sabhi Aasaar Kehte Hain,
Usay Mujh se Mohabbat Hy,
Use mujh se muhbt hy,

Nauman_Khan
 

YEH AINE JO TUMHE KAM PASANDKARTE HAIN.
INHE KHABHAR HAI TUMHE HUM PASAND KARTE HAIN.
TUMHE KHUDA NE ZAMANE MEIN NAZEEN KIYA.
MERI NAZAR NE TUMHE AUR BHI HASEEN KIYA.
TERE BAGAIR SAFAR KIYA HAI RASTA KIYA HAI.
HUM ASHIQO KO ZAMANE SE WASTA KIYA HAI.
KE HUM TO AP KO JANAM PASAND KARTE HAIN.
IS LIYE TUMHE MAUSAM PASAND KARTE HAIN.
YEH AAINE JO TUMHE KAM PASAND KARTE HAIN.
INHE KHABHAR HAI TUMHE HUM PASAND KARTE HAIN.
KAREEB AO KE BHAR LEIN TUMHE NIGHAAO MEIN.
TUMHE SAMAAIT LEIN IN BEKARAR BAAHAO MEIN.
HAI KON AISA JISE DARHKANO MEIN BAND KARE.
TUMHI BATAO TUMHE KUYE NA HUM PASAND KAREKE.
PYASY LOG SHABNAM PASAND KARTE HAIN.
KOI KARE NA TUMHE HUM PASAND KARTE HAIN.
YEH AAINE JO TUMHE KAM PASAND KARTE HAIN.
INHE KHABHAR HAI...

Nauman_Khan
 

Ye Jo Taron Bhara Hy Asman,
Ye b Muntazir Hy Meri Tarah,
Issy Chand Ki Hy Justujoo,
Mjhe Chandni Ki Talash Hy,
Wo Jo Muntazir Tha Chand Ka,
Ussy Mil Giya Mangy Bina,
Jissy Chandni Ki Talash Thi,
Wo Dakhta he Reh giya,
Wo Dakhta he Reh giya,

Nauman_Khan
 

Meri Har Nazar Teri Muntazir,Teri Har Nazar Kisi Aur Ki,,
Meri Zindagi Teri Bandagi, Teri Zindagi Kisi Aur Ki,,
Kabhi Waqat Jo Mille Tujhe, Zara Aake Dekh Mery Hal Ko,,
Meri Har Gharhi Tere Liya, Teri Har Gharhi Kisi Aur Ki,,
Mujhe Sirf Teri Talab Thi, Par Jane Mujhe Tu Kyun Na Milla,,
Tu Usse Milla Mere Sanam, Jise Thi Talab Kisi Aur Ki
.,,

Nauman_Khan
 

Daikhtay Hain Yeh Aziat Gawara Ker K,,
Baaton Baton Mein Bicharnay Ka Ishara Ker K,,
Khud Bhi Roya Woh Bohut Hum Say Kinara Ker K,,
Sochta Rehta Hon Tanhai Mein Anjam-E-Khuloos,,
Phir Usi Jurm-E-Mohabbat Ko Dobarah Ker K,,
Jagmaga Di Hain Teray Shehar Ki Galiyan Mein Nay,,
Apnay Her Ashk Ko Palkon Pay Sitara Ker Kay,,
Daikh Laitay Hain Chalo Hosla Apnay Dil Ka,,
Aur Kuch Rooz Teray Sath Guzara Ker K,,
Aik Hi Shehar Mein Rehna Magar Milna Nahin,,
Daikhtay Hain Yeh Aziat Gawara Ker K,,

Nauman_Khan
 

سانچہ عشق میں پہلے ڈھالا مجھے,,,
پھر نوچا , چبایا ___مار ڈالا مجھے

Nauman_Khan
 

خود کشی، عشق، فنا، قتل، یا پھر ترک وفا,,,
کچھ بھی کر سکتا ہے جذبات میں آیا ہوا شخص...!!

Nauman_Khan
 

اب میرے اشک محبت بھی نہیں آپ کو یاد ,,
آپ تو اپنے ہی دامن کی نمی بھول گئے ,,
اب مجھے کوئی دلائے نہ محبت کا یقیں ,,
جو مجھے بھول نہ سکتے تھے وہی بھول گئے..

Nauman_Khan
 

ٹھہرو کہ میں عینک سے زرا گرد ہٹا لوں۔۔۔
لگتا ہے کہ ہم دونوں جوانی میں ملے ہیں۔۔۔

Nauman_Khan
 

ٹھہرو کہ میں عینک سے زرا گرد ہٹا لوں۔۔۔
,,
لگتا ہے کہ ہم دونوں جوانی میں ملے ہیں۔۔۔

Nauman_Khan
 

کتنے جھوٹے تھے ہم محبت میں __!
تم بھی زندہ ہو ہم بھی زندہ ہیں__!
جون ایلیاء

Nauman_Khan
 

لیتے ہیں لوگ اپنی دلی بات کہ مزے____
میرا یہ مزہ ھے کہ میرے دل میں کچھ نھیں,

Nauman_Khan
 

راہ میں گرد بن کے اڑتے ہیں,,,
ہم سے بیکار اب کہاں ہوں گے...!!

Nauman_Khan
 

بات کرنا بھی ضروری نہیں ہوتا ہر وقت ,,
لفظ ہوتے بھی نہیں ہیں, کئی باتوں کے لیے