RASOOLULLAH (Sallallaho Alaihey Wa Sallam) Ne Farmaya, "Jab Log Buraai Hotey Hoey Dekh Lain Or Usey Badalney (Rokney) Ki Koshish Na Karen To Qareeb Hai K ALLAH Unhen Apney Azaab Ki Girift (Pakar) Me Le Ley." (Abu Da'od Hadith# 4338, Tirmizi Hadith# 2178)
Khudaa Humko Aisi Khudaayee Na De Ke Apne Siwaa Kuch Dikhaayee Na De Qataawaar Samjhegi Duniyaa Tujhe Ab Itni Ziyaada Safaayee Na De Abhi To Badan Mein Lahoo Hai Bahut Qalam Cheen Le Roshnaayee Na De Khudaa Aise Ehsaas Ka Naam Hai Rahe Saamne Aur Dikhaayee Na De
Wallah Payambar bhi kya khoob diya tune
Hamko aye Khuda apna mehboob diya tune
Imaan diya hamko sadqe mein Muhammad ke
Quraan diya hamko sadqe mein Muhammad ke
Hampar teri rehmat ho sadqe mein Muhammad ke
Hasil hame jannat ho sadqe mein Muhammad ke
Rakh laaj sare mehshar sadqe mein Muhammad ke
Maula ho karam ham par sadqe mein Muhammad ke
Kab hamse juda tu hai har dil mein chupa tu hai
Allahu Akbar Allahu Akbar...
Jab Aadamo Hawwa ne ro ro ke dua mangi
Dono ko milaya aur dono ki khata bakhshi
Tu Nooh ki kashti ka toofan mein sahara tha
Qaroon ko mere Maula tune hi utara tha
Daale gaye sholo me jis waqt Khalil Ullah
Wo aag hui gulshan rehmat se teri Allah
Ayyub ko mushkil mein tune hi sambhala tha
Aur pet se machli ke Yunus ko nikala tha
Moosa ka Asa tu hai Isa ki dua tu hai
Allah bada tu hai
Allahu Akbar Allahu Akbar...
Bando ko burai se Allah bachana tu
Sacchai ke raste par ham sabko chalana tu
Maula tu hame rakhna rehmat ki panaho mein
Imaan pe rahe qayam dube na gunaaho mein
Gafil na rahe Maula ham teri ibadat se
Ham paaye karam tera Quraan ki tilawat se
Imaan pe jiye Maula, Imaan pe mar jaaye
Awaaz tujhi ko de ham chahe jidhar jaaye
Har ek jagah tu hai har dil ki sada tu hai
معافی مانگتا ہو اے میرے اللہ ہر گناہ سے جو میں نے جان بوجھ کر کی ہے یا بھول کر کی ہے ،در پردہ یا کھلم کھلا اور میں توبہ کرتا ہو اسکے حضور میں اس گناہ سے جو مجھے معلوم ہے اور اس گناہ سے جو مجھے معلوم نہیں،بے شک تو عیبوں کو جاننے والے اور عیبوں کو چھپانے والا ہے، اور گناہوں سے بخشنے والا ہے اور گناہوں سے بچنے کی طاقت اور نیک کام کرنے کی طاقت اللہ ہی کی طرف
سے ہے۔ جو عالی شان اور عظمت والا ہے
Ameeen sum Ameeen
Allah hafiz sub pe salamty ho Ameeen
Quran pak prhlo jetna ho sagy faida hoga quran pak ko ghr me ase rakhni se gunha hota he