Aj bohaut dukh ho raha hay haal-e-zindagi per
Kaash us se hud main reh ker mohabbat ki hoti
Kero agaaz ulfat ka kisi aur se tu itna sooch laina
Teri mohabbat main shaamil meray ishq ki shahadat hogi
Ooqaat nafrat ki bhi nahi thi
Aur hum mohabbat ker baithay un se
Charh jay tu phir utarta hi nahi
Ye ishq bhi gareeb ke qarz jaisa hay
Kabhi khamoosh baitho gay kabhi kuch gungunao gay
Main itna yaad aoon gi, mujhay jitna bhulao gay
Meri nakamiyon per tum zara tashweesh mut kerna
Jisay kuch bhi nahi ata, mohabbat us ko ati hay
Ki mohabbat tu siyasat ka chalan choor diya
Hum agar ishq na kertay tu hukoomat kertay
Us nay waqt samajh ker guzaar diya mujhay
Aur main usay zindagi samajh ker aaj bhi ji raha hon Hina
Misaalain dain gay loog meri qismat ki
Bus tum ajaoo meri qismat kay hissay main HinA
Kaash ke woh laut aye mujh se ye kehnay
Tum koon hotay ho mujh se bichar ne walay
Jitna badal sakta tha badal liya khud ko
Ab jis ko shikayat hay woh apna raasta badal lay
Bana lo usay apna jo tumhain dil say chahta ho
Khuda ki qasam chahnay walay bari mushkil say miltay hain
Nazar chura ke kaha bus yehi muqaddar tha
Bicharne walay ne mulba Khuda per daal diya
Meray hum-dard na bano
Dard se mer jao gay
Kub ka chor diya hum ne logon per yaqeen kerna
Mohabbat se jo bhi mila berbaad ker giya
Abhi tuk yaad ker rahay ho, pagal ho tum qasam se
Us ne to teray baad bhi, hazaroon bhula diyayHina
Teri ik nazar mujhay eid si
Teri be rukhi gham-e-kerbala
Ae mohabbat apni swari se utar de mujhe
Bohat thak gaya hon tere sath chalte chalte
Bohat mash-hoor theen kahaniyan meri ana ki
Bus phir--!! tujh se mohabbat ho gyee
Thori si mohabbat to usay bhi hogi mujh se
Itna waqt sirf dil toornay ke liyay koon berbaad kerta hay!
submitted by
uploaded by
profile:
Sorry! Ap apne item ya profile ko report nahi kar saktey, na hi apne ap ko block kar saktey hain