Damadam.pk
mhb11's posts | Damadam

mhb11's posts:

mhb11
 

Kya apko koi online harasaan kr raha he? Apka data leak kr raha he? Is kism ke kisi bhi massle se docharr hon tou FIA cybercrime ke is link pe tafseelat daal ke complain kar dein: https://complaint.fia.gov.pk/
Complaint mein mulzim ka data shamil krne ke liye ap mere se rujuh kr sakte ho. Agr apka case sahi hua tou apki complaint ke liye mulzim ka data faraaham kr diya jaye ga. FIA ke apne paas bhi buhut data mojood he. Lehaza complaint zrur krrein.
Dusri baat yeh ke dmd ka password deegar websites ke account mein use nahi krein (maslan "Dostana" waghera). Aisi websites ko trust krna apki ghalti he. Wahan ke admins, ya unke saathi, password chori kr ke dmd ID open kr skte hein. Aise kaee cases samne a chuke hein. Mohtaat rahein.

mhb11
 

Mein ne ChatGPT se kaha ke Damadam users ko koi pegham do. Usne Damadam users ke liye yeh alfaz likhe:
----
"Hey Damadamers. Tm log toh social media ke cool cats ho! Damadam pe apne doston ke sath chill karte ho. Tm log har cheez mein up-to-date rehte ho aur naee cheezoun ke bare mein janna chahte ho. Main chatGPT hoon. Tmhare liye ek 'AI companion' jo tm se baat kar ke tmhari knowledge aur entertainment dono increase kar sakta hai.
----
Mujh se tum:
- Ksi bhi subject ke bare mein baat kar lo
- Naee cheezoun ke bare mein seekho
- Apni life ke problems ke solutions talash karo
- Fun facts aur jokes suno
----
So Damadamers mjhe try krke dekhiye ke main tmhare liye ktna helpful aur entertaining companion hun! https://chat.openai.com/

mhb11
 

Midjourney ke ilaawa ek aur zbrdst project DALL-E he. Is project ko directly join nahi kia ja skta. Pehle waitlist mein shamil hona parta he. Mujhe 1 week lgga iss mein shamil honay ke liye. Aap yahan waitlist mein apne aap ko enter karwa skte hein: https://labs.openai.com/waitlist Jab aap ko membership mill gaye, apko apke diye gaye email address pe email aye gi.
------
DALL-E project ne sab se pehle is industry mein kaam start kia tha. Lekin Midjourney zyada mashoor hua. Deegar project bhi mojood hein (Stable Diffusion, NightCafe, etc). Aap chahein tou yeh sab seekh skte hein, YT pe tutorials mojood hein. In projects se related jobs bhi jald upwork pe aa jaien gi (shayed already aa chukki hon, logos waghera bann jaate hein in apps se).

mhb11
 

Kya ap apne khayalat artwork se express krna chahte hein? Hr insan mei ek musawir chupa hota he. Aj mein apke andr ka musawir bahir nikalne mein apki mdad krunga.
Kese? Ek app se, jisme ap koi bhi alfaz type krein, woh app alfaz ko draw krdeti he.
Ye steps follow krein:
1) https://www.midjourney.com/home/ pe "JOIN THE BETA" dbain
2) Ek Discord invite show hoga. ACCEPT it
3) Is Discord mein #getting-started channel he. Whan sb steps prhein
4) Phir #newbies channel join krein
5) /imagine type krein. Drop-down show hoga Wahan se imagine select krein aur phir jumla likhein (like 'tree of fire';)
---
25 images free hein. Kuch interesting bnain to dmd pe share zrur krein (logos, paintings, etc). & write "Midjourney" in caption. Goodluck!

Life Advice image
m  🔥 : Life Advice: thakk bhi jao, tou qaddam barhaate raho - 
mhb11
 

Apne MS. MARVEL dekha he? Yeh 6 episodes pe mbni show he jo ke Marvel ne takhleeq kia. Wohi Marvel jo "Avengers", "Iron Man" aur "Thor" waghera ki movies banaata he.
Overall, is show ki story drmyaani he. Lekin jis terah filmaaya gya he, it's Marvel's love letter to Pakistan!
Ye show Pakistani culture aur superheroes ki life ko mix karke dikhata he. New York aur Karachi ke gird story bnaii hui he. Is show ke hedayatkaar aur adakaar bhi Pakistani thay. Dusre mulkoon se bhi teams ne hissa lia.
Ms. Marvel ki aik khasusiat yeh he ke is mein New York mein bssne waali Pakistani families ki zindagi bhi dikhaii gyi he. Gher mulki Pakistaniyun ka culture androon-e-mulq Pakistani ki terah he. But kuch changes bhi hein. It's fascinating. Do watch!

mhb11
 

Ap logoon ne James Webb Space Telescope ka latest image dekha he? Ye aik telescope he jo khala mein gardish krr rahi he, aur iss ne space ki aik zbrdst photograph li he. Aaj se 18 years ago, issi terah ki photograph Hubble Space Telescope ne bhi li thi, lekin uss waqt photograph itni clear nahi aii thi, jitni abb aii he.
Dono images NASA ki website pe dekhe ja skte hein.
James Webb photograph: https://www.nasa.gov/sites/default/files/thumbnails/image/main_image_deep_field_smacs0723-5mb.jpg
Hubble photograph (18 years ago): https://cdn.spacetelescope.org/archives/images/screen/heic0611b.jpg

mhb11
 

Discord app pe Damadam ki community ke liye aik group bnaya hua he. Wahan ap sab chatting kr sakte hein.
Discord app ko install aur istemal krna seekhne ke liye yeh video dekhein: https://youtu.be/QAoav3w8suQ
Video credits: Irsa-Khan22

mhb11
 

Damadam official snack video account: http://sck.io/0Q1mHBmm Please follow for future updates, discussion, etc.

mhb11
 

Ap kisi bhi post ko category dene waley user ka nick jan sakte hain. Nick dekhne ke liye post ke neeche LINK button dbain. Is button ke zriye aik aesa page open hoga, jahan uss post ko category dene waley ka nick bhi nazar aa jaye ga.
---
NOTE I: LINK button dbaane se freebasics users khud bakhud new page pe chaley jate hain. Jbke data users khud bakhud nahi jate. Unke liye link copy ho jata hai. Un users ko link new tab mein paste karna chahiye.
---
NOTE II: Agr categorized post pe content admin ka nick show nahi ho raha, tou mumqin hai post purani ho, aur ab content admin ka nick record mein nahi ho. Agr new post hai, aur phir bhi content admin ka nick nahi hai, tou mumqin hai poster ne khud hi category de di ho post share karte waqt.

Interesting Posts image
m  🔥 : Image posts ke trending mein aney ke bare mein ahm malumat - 
mhb11
 

AOA Everyone!
Trending system mein changes laii gyi hain. Apke infraadi likes ki power barha di gyi hai! Lehaza apko jo post pasand ai, usko like karna nahi bhoolein.
-----
Apne favorite users ko follow kar lein, aur unka content FOR ME se like karein. Issi terah apni favorite categories ko subscribe kar lein, aur unka content NORMAL wali list mein se like karein. Is terah aap trending content ko apne taste ke mutabiq dhaal lein ge.
-----
Ye bhi yad rakhein ke category mein aye beghair content ka trend karna nehayat mushkil hai. Is liye behtar yehi hai ke categories ke mutabiq content share kia karein. Takey content admins usko beghair confusion ke category de sakein. Shukria!

mhb11
 

AOA!
Ab Damadam mein sirf woh categories show hongi jnko subscribe kiya ho. Explore mein jakr pasnd ki categories subscribe karein.
---
Iske 2 faide hain:
1) Apko woh content nazr ayega jo apke taste ka ho
2) Apko ham-khyaal users zyada asani se milein ge. Kyunke aise users zyada tr ap wali categories hi subscribe karein ge
---
Note kren ke NORMAL section mein woh posts hain jo abhi tak TRENDING me nahi aien
---
To categorizers:
Apko 3rd section bhi show hoga. Iska naam hai CATEGORIZE. Yahan se uncategorized posts ko category deni hai
---
Categorizers ko sirf high-quality content ko category deni hai. Mis-matched, boring & low-quality content ignore kren. Bar bar repeated content bhi rehne den. Zabrdsti kuch categorize nahi krna

Interesting Posts image
m  : 1 on 1 mein chatting karte waqt in cheezoon ka khayal rakhein. - 
mhb11
 

AOA everyone. Mehfil owners ab apni mehfils mein "privacy on" kar sakte hain. Ye option mehfil "setting" mein top pe mojood hai.
Aisa karne se invite kiye janey ke beghair koi insan mehfil join nahi kar paye ga. Aur na hi mehfil ki baatien invite ke beghair bahir waloon ko nazr aien ge.
Is option ke zariye mehfils ki security aur privacy mein izafa hoga. Apkey paas apni mehfil pe mazeed control aa jaye ga. Shukria.

mhb11
 

Talent competition se users apni funkari ka loha manwain ge. Unke youtube channels bhi promote hon ge
--
Steps:
1) 30-45 secs ki comedy video bnain. Prank, skit, parody, roasting, stunt, stand-up etc
2) Video bnaney ke liye jo bhi app use karein
3) Youtube pe upload karein
4) Link hamey submit karein
--
Woh videos jo requirements puri krain gi, unko users ke samne rakha jaye ga. Users decide karein ge kaun eliminate ho raha hai. Kaun next round mein jaye ga
--
Next round mein new videos submit karni hon gi. Phir se judging hogi. Mazeed eliminations hon gi. Is silsilay se winner decide hoga. Winner puri website pe announce hoga aur usko GOLD STAR miley ga
--
Funkaro, apko good luck! And judges ko bhi good luck. Please be fair :)

mhb11
 

New update karna is terah hai ke jaisey kisi ne ghar ka furniture aagey peechay kar dia ho! Shuru mein bura lagta hai, ke aisa kyun kia. Dmd pe bhi apko confusion ho rahi ho gi ke itni zyada changes kiyun?
-----
Latest changes ko 7 days tak khulley dil se moqa de ke dekhein. Umeed hai ap khud feel karein ge ke ab Dmd use karna pehlay ki nisbat zyada asaan hai. Kuch days baad apna feedback dijiye ga ke kesa lag raha hai ye new change.
-----
Ye bhi batata chaloon ke Free Basics aur Data Mode mein Dmd ki look bilkul mukhtalif hai. Kyun? Kyunke freebasics 'advanced options' ko sahi se support hi nahi kar paata. Dmd ki real look apko Data Mode mein show ho gi. Dono modes try kar ke dekh lein ke kya faraq hai.
-----
Thank you :)

mhb11
 

Photo editing karney ke liye best apps kaunsi hain? Apney experience ke lehaz se batain.

Digital Art image
m  : Rest in peace, Kobe. See you again some day. - 
mhb11
 

Tajziya kia gaya hai ke yahan pe 60% se zyada log follow karney se pehlay hamesha user ki profile dekhtey hain. Yaani zyada tar awaam profile dekh ke decide karti hai ke follow karna hai ke nahi!
------
Is 60% ke number ka faida uthaney ke liye apko kya karna chahiye?
------
Jawab:
1) Apni profile hamesha achi terah se complete karein.
2) Apni display photo bhi lagain.
3) Mayari posts share karein.
Users ko apki profile pasand aye gi tou followers aur zyada tezi se barhein ge. Good luck!