Lehjay Yad Rehtay Hain , Batain Yad Rehti Hain Waqt Guzar Jaata Hai Kisi Kay Saath Bhe Kisi Kay Baad Bhe..!
Kisi Mazboot Pahaar ka itna Bojh Nahin Hota Jitna Bay Qasoor Par Tohmat Laganay Ka Hota Hai.
Jitni Marzi Kitabain Parhlain Zindagi Ka Falsafa Us Waqt Tak Samajh Nahin Aata Jab Tak Halaat Waqiaat Khud Par Na Beet Jain..!
Auron Kay Liay Jeetay Thay To Kisi Ko Shikayat Na Thi Thora Sa Apnay Liay Kia Sooch Lia Zamanay Kay Liay Khudgarz Hogaey..!
Zindagi Main Hamesha Khud Par Depend Karna Chaheyay Khud Se Tawoqaat Lagana Chaheyain Kisi Dosray Se Lagai Gai Tawoqaat Hamesha Takleef Daiti Hain.
Jo Shakhs Aap Kay Saamnay Doosron Ki Burai Karta Hai Us Se Ye Umeed Kabhe Na Rakhain Kay Wo Doosron Kay Saamnay Aapki Tareef Karay Ga..!
Soch Achi Honi Chaheyay Kyoun Kay Nazar Ka iLaaj Mumkin Hai Laykin Nazriay Ka Nahin..!
Khobsorti To Khatam Aur Tabdeel Ho Jati Hai Laykin Seerat Na To Khatam Hoti Hai , Na Tabdeel..!
Sheesha Aur Rishta Donon Nazuk Hotay Hain Magar Un Main Aik Farq Zaror Hota Hai Sheesha Galti Se Toot’ta Hai Aur Rishta Galat Fehmi Se..!
Buray Aamaal Demak Ki Tarah hain in Kay Zariyay Bahar Se To Kuch Nahin Badalta Magar Andar Se Sab Mati Ho Jata Hai..!
Rishton Ko Waqt Do Taj Mahal Duniya Ne Daikha Hai , Mumtaaz Ne Nahin..!
Kuch Log Apnay Aap Ko insaan Nahin Farishta Samajhtay Hain Un kay Kaam Bhe Farishton Jese Hain Yaani Doosron Kay Gunahon Aur Buraiyoun Ka Hisaab Rakhna..!
Saaray Khiloonay Choor Kar Insano kay jazbaat se khailtay hain Log.
یہ مت سوچنا کے تم چھوڑوگے تو ہم ٹوٹ جائیں گے وہ بھی جی رہے ہیں جنکو ہم نے تیری خاطر چھوڑا تھا
Jo Tmhain Rula Saktay Hain Wo Tmhain Bhula Bhe Saktay Hain.
اکثر ٹوٹ جاتی ہے اک عورت مردوں کی پگڑیاں سنبھالتے سنبھالتے
Insaan ka Dard Koi nai Samajh Skta.
Achay Hotay hain Ham Jese Buray Log Kam se Kam Acha honay ka Dikhawa to Nahe kartay.