Jaisay Phool Thak Jatay Hain Khushbo Bakhairtay Bakhairtay
Wese He Insaan Bhe Thak Jata Hai Nibhatay Nibhatay
Aaj Un Se Koi Raabta Nahin
Kabhe Jin Se Bat Kartay Raat Guzar Jati Thi
Baaz Aukaat Bohot Kuch Jan’nay Aur Samajhnay Kay Bawajood
Sirf Rishtay Ko Qaim Rakhnay Kay Liay Anjaan Ban’na Parta Hai
Itni Thokrain Marnay Ka Shukria Aay Zindagi
Chalnay Ka Na Sahe Sanbhalnay Ka Hunar To Aa He Gaya
Itni Thokrain Marnay Ka Shukria Aay Zindagi
Chalnay Ka Na Sahe Sanbhalnay Ka Hunar To Aa He Gaya
Logon Ka Asli Chehra Saamnay Aa He Jata Hai
Ab Nakab Hamesha Kay Liay To Nahin Hota
Aur To Har Cheese Mehengi Hogae Hai
Aadmi Duniya Main Sastaa He Raha
Baaz Rishtay Aaisay Hotay Hain Jinhain Joortay Joortay
Insaan Khud Toot Jata Hai
Jis Ne Dard Chupana Seekh Lia Us Ne Jeena Seekha Lia.
Baba Mujhay Chor Kar Gaey To Zamanay Ne Bataya Kay Jis Betioyn Ka Baap Nahin Hota Un Ka Koi Hamdard Nahin Hota.
Qadar Karna Seekh Lo Na He Zindagi Bar Bar Aati Hai Aur Na He Loog.
Har Insaan Ko Bas Apna Aap Theek Lagta Hai.
Har Dost Ko Har Raaz Na Batao Doston Kay Bhe Dost Hotay Hain.
Zindagi Bohot Khoobsorat Hai Bas Shuru Kay 60 , 70 Saal He Mushkil Hain.
Hosla Afzae Karna Sekhiyay Pareshaan To Sab He Kartay Hain.
Loog Dilon Main Nafratain Lay Kar Kis Qadar Saadgi Se Miltay Hain.
Rishtay Waqti Nahin Hotay
Logon Kay Dil Bhar Jatay Hain Bas
Loog To Aatay Jatay Rehtay Hain Par Kisi Kay Aanay Aur Janay Se Zindagi Nahin Rukti.
Dilon Main Choti Choti Batain Rakhnay Se Ham Apnay Baray Baray Rishtay Kharab Kar Laitay Hain.
Aik Insaan Mar Jaey To Sabar Aa Jata Hai Laykin Jab Aik Zinda insaan Aap Kay Liay Mar Jaey To Kabhe Sabar Nahin Aata.
submitted by
uploaded by
profile:
Sorry! Ap apne item ya profile ko report nahi kar saktey, na hi apne ap ko block kar saktey hain