Damadam.pk
Muzmil-Baloch's posts | Damadam

Muzmil-Baloch's posts:

Muzmil-Baloch
 

Na Kar Tamanna Aye Dil Tu Use Pane Ki, Bahot Hi Bedard Hai Nigahein Is Zamane Ki, Khud Ko Kabil Bana Le Kuch Is Tarah Raaj, Log Tamanna Rakhe Tujhe Hi Pane Ki.

Muzmil-Baloch
 

Ab Ansuon Ko Aankhon Mein sajaana Hoga Charaag Bhuj Gaye Khud Ko Jalana Hoga Na Samajhna Ke Tumse Bichar Ke Khush Hain Hum Humein Logon Ki Khaatir Muskurana Hoga

Muzmil-Baloch
 

Dil to tod hi diya hai ab jalado ashiyana mera..Taki hum jalkar khak ho jaye..Na dekh sake gairon ke sang muskurana tera

Muzmil-Baloch
 

Chandni Se Chamakti Is Raat Main, Ek Khushboo Si Hai Har Baat Main, Hai Sitaare Mere Kadmo Ke Tale, Ek Ehsaas Hai Aaj Unki Har Aahat Main, Paas Aake Bhi Kyon Hain Duriya, Koi Pyasa Hai Kyon Barsat Main.

Muzmil-Baloch
 

Ab Toh Angaro Ke Lab Choom Kar So Jaayenge Hum Woh Pyase Hain Jo Dariyaon Ko Tarsayenge, Khwab Aaine Hain Aankhon Mein Liye Firte Ho Dhoop Mein Chamkenge Tootenge Toh Chubh Jaayenge, Neend Ki Fakta Sahami Huyi Hai Aankhon Mein Teer Yadon Ki Kamigahon(Sikari) Se Fir Aayenge, Subah Tak Dil Ki Khidkiyon Ko Khula Rahne Do Dard Gumraah Fariste Hain Kahan Jaayenge…

Muzmil-Baloch
 

Rang, Duniya Ne Dikhaya Hai Nirala Dekhu, Hai Andhere Mein Ujala Toh Ujala, Dekhu, Aaina Rakh De Mere Saamne, Aakhir Main Bhi, Kaisa Lagta Hai Tera Chahne Wala, Dekhu, Kal Talak Woh Jo Mere Sar Ki Kasam Khata Tha, Aaj Sar Mera Usne Kaise Uchhala, Dekhu, Mujhse Majhi Mera, Kal Raat, Saham Kar Bola, Kis Tarah Maine Yahan Khud Ko Sambhala, Dekhu, Jiske Aangan Se Khule The Mere Saare Raste, Us Hawali Par Bata Main Kaise Tala Dekhu..

Muzmil-Baloch
 

AAP SE DUR JANNE KA IRADA NA THA, SADDA SATH RAHENA KA WADA NA THA, AAP YAAD NAHI KAROGE YE JANTE THE HUM PAR ITNE JALDI BHOOL JAOGE YE ANDAAZA NA THA.

Muzmil-Baloch
 

MOHABBAT DIL KO AAWARA BANA DETI HAI GARDISH MEIN REHNE WALA SITARA BANA DETI HAI YE APNI HADD MEIN RAHE TO THIK HAI WARNA KISI KO VEER KISIKO ZAARA BANA DETI HAI.

Muzmil-Baloch
 

Har Chamakti Kurbat Mein Ek Faasla Dekhu Kaun Aane Wala Hai, Kiska Raasta Dekhu Sham Ki Dhundh Hai Ya Udas Mamta Hai Bhooli Bisri Yaadon Se Foot-Ti Dua Dekhu Lehar-Lehar Pani Mein Doobta Hua Suraj Kaun Mujhme Dar Aaya Uth Ke Aaina Dekhu Lehlhate Mausam Mein Tera Zikr Bahar Jaisa Shakh-Shakh Per Tere Naam Ko Hra Dekhu

Muzmil-Baloch
 

Wo Mujhe Mehndi Lage Hath Dikha Kr Royi, Main Kisi Aur Ki Hun Bas Etna Bataa Kar Royi, Shaayad Umar Bhar Ki Judai Ka Khayaal Aaya Tha Use, Wo Mijhe Pass Apne Bitha Kar Royi, Dukh Ka Ehasaas Dila Kar Royi, Kbi Kahati Thi Ki Main Nan Jee Paungi Bina Tumhare, Aur Aaj Ye Baat Dohra Kar Royi, Mujhse Jyada Bichdane Ka Gum Tha Use, Waqt-A-Rukshat Wo Mujhe Seene Se Lagaa Kar Royi, Main Bekasoor Hun Kudrat Ka Faisla Hai Yeh, Lipat Kr Mujhse Bas Woh Itna Bataa Kar Royi, Mujh Par Dukh Ka Pahaad Aik Aur Tutta, Jab Woh Mere Saamne Mere Khat Jala Kar Royi, Meri Nafrat Aur Adawat Pighal Gayi Ek Pal Mein, Woh Bewafa Hai To Kyun Mujhe Rula Ke Royi, Sab Gile-Shikwe Mere Ek Pal Mein Badal Gaye Zheel Si Aakhon Mein Jab Aansu Sazaa Kar Royi, Kaise Uski Mohabbat

Muzmil-Baloch
 

Mitti Ke Khilone Hain Yeh Tutenge Toh Zarur, Kudrat Ki Bandishen Hain Nahin Kisi Ka Kasoor, Is Aasmaan Ke Neeche Kya Kya Bicha Hua Hai, Kuchh Sajavat Pass Mein Kuchh Basahat Door, Safar Sadiyo Ke Chalenge Lakh Roke Hastiyaa, Badi Lambi Rahgujar Hai Vakt Thak Kar Choor, Aadmi Ki Asliyat Se Khuda Bhi Anjaan Hai, Kabhi Toh Ahi Buland Maksad Kabhi Hai Majbur, Aa Ka Sach Dekhna Hai Kal Ki Baatein Chhodiye, Jaani Dushman Aaj Kal Tak Tha Najar Ka Noor… Sad Shayari

Muzmil-Baloch
 

Tha Main Neend Mein Aur Mujhe Itna Sajaya Jaa Raha Tha, Badhe Hi Pyaar Se Mujhe Nehlaya Jaa Raha Tha, Najaane Tha Woh Kaunsa Ajeeb Khel Mere Ghar Mein, Bachon Ki Tarha Mujhe Kandhe Pe Uthaya Jaa Raha Tha, Tha Paas Mere Mera Har Apna Uss Waqt, Phir Bhi Mai Har Kisi K Mooh Se Bulaya Jaa Raha Tha. Jo Kabhi Dekhte Bhi Na The Mohabbat Ki Nigahon Se, Un Ke Dil Se Bhi Pyaar Mujh Pe Lutaya Ja Raha Tha, Maloom Nahi Hairaan Tha Har Koi Mujhe Sote Hue Dekh Kar, Zor Zor Se Ro Kar Mujhe Hasaya Ja Raha Tha, Kaanp Uthi Meri Rooh Mera Wo Makaan Dekh Kar, Pata Chala Mujhe Dafnaya Ja Raha Tha, Ro Pada Phir Mai Bhi Mera Wo Manzar Dekh Kar , Jahan Mujhe Hamesha Ke Liye Sulaya Jaa Raha Tha, Tha Main Neend Mein Aur Mujhe Itna Sajaya Jaa Raha Tha, Badhe Hi Pyaar

Muzmil-Baloch
 

Barbaad Ho Gaye The Hum Duniya Ne Yun Humko Sataya Tha Har Ek Mod Pe Hum Girte The Kisi Ne Bhi Na Humko Uthaya Tha Tab Tune Hi Sanam Ek Umeed Ka Diya Jalaya Tha Apne Har Ek Gam Ko Chupakar Mujhe Jeena Sikhaya Tha…

Muzmil-Baloch
 

Uska Koi Imaan Nahi, Mere Zakhmo.N Ka Koi Darmaan Nahi Mohabbat To Thi Usse, Magar Shayad Isme Wo Parwaan Nahi Har Lamha Jiski Yaad Me Guzra, Banke Shama Qatra-Qatra Pighla Baya.N Karu.N To Kaise Uski Bewafayi, Uske Liye Mere Paas Zubaan Nahi Agar Wo Bhi Chahti Thi Mujhko, Agar Usko Bhi Mujhse Mohabbat Thi To Kyu.N Uske Naam Ke Sath, Koi Leta Mera Naam Nahi? Dil Ko Mere Tukdo.N Me Badal Diya, Armaano Ko Patjhad Bana Diya Par Jaan Le Tu Bhi Ek Baat, Mujhse Bewafayi Me Teri Koi Shaan Nahi Dil Pe Tooti Tasveer Ko Saja Diya, Rango Ki Kami Thi Laga Diya Par Bhool Gaya Wo Tasveer Teri Thi, Usne Bhi Kaha Ye Koi Ehsaan Nahi Parinde Bhi Yun Bewafa Nahi Hote, Jis Shaakh Pe Baithen Use Nahi Todte Toone Jitne Zakhm Diye Mujhko, Unhe Dekhkar Dil Kahta H

Muzmil-Baloch
 

Na Jaane Kyun Aaj-Kal Wo Sharmati Nahi, Palkein Jhukaake Apni, Muskurati Nahi, Apne Gulaabi Labon Se Kuch Haseen Bol Ke, Is Dil Ko Kyun Phir Se Dhadkati Nahi. Na Jaane Kyun Aaj-Kal Wo Paas Aati Nahi, Nazron Ke Ishaare Kuch Keh Jaati Nahi, Sapne Satrangi Se Aankhon Mei Mujhe Dikhake, Kyun Phir Se Meri Neendein Churati Nahi. Na Jaane Kyun Aaj-Kal Wo Khaylon Mei Aati Nahi, Seene Se Mujhe Lagake Koi Geet Sunati Nahi, Lamhe Kuch Khoobsurat Se Mere Saath Bitaake, Kyun Phir Se Mujhme Kho Jaati Nahi…

Muzmil-Baloch
 

Kehdo un parhne walon se, Kabhi hum bhi parha kertay thay, Jitna syllabus parh k wo top kertay hain, Utna to hum choice per chor dia kertay thay…

Muzmil-Baloch
 

Biwi ko apni palkon pe bitha lo, De k khushi us k saare gham chura lo...Pyar aisa karo k sab dekhte reh jaye..Padosan bhi aa k kahe, "mujhe bhi apni biwi bana lo"HaHaHaHaHa

Muzmil-Baloch
 

Tum jis se pyar karte ho Agar use na pa sako to, uska number mujhe de dena...Kya pata mere sath set ho jaye...k5

Muzmil-Baloch
 

Mohabbat Ho Gayi Jinse , Unse Sikayat Kya Hogi, Jubaan Tak Baat Jo Aayi , Yakinan Woh Dua Hogi, Agar Woh Rooth Gaye Mujhse, Koi Meri Hi Khata Hogi, Ki Thi Suruaat Ek Chhote Se Majak Se, Majak Dard Ban Jaayega, Maalum Na Tha, Samajhte The Jise Hum Apna Yaar, Woh Ek Din Pyar Ban Jaayega, Maalum Na Tha…

Muzmil-Baloch
 

Na Wo Aaye Or Na Koi Paigaam Aaya Unka Kabhi, Intzaar Mein Apne Tadapa Kar Humein Rula Daala, Humse Khata Hui Agar Koi, Tum Bata To Dete, Aisi Bhi Kya Naraazgi Ki Humein Hi Bhula Daala..