Wafaa Ke Baab Mein ILzaam E Aashiqui Na Liyaa Ke Teri Baat Ki Aur Teraa Naam Bhi Na Liyaa Khushaa Wo Log K Mehroom E Iltefaat Rahay Tere Karam Ko Ba Andaaz E Saadgi Na Liyaa Tumhaaray Baad Kayi Haath Dil Ki Simt Barhay Hazaar Shukar GirebaaN Ko Ham Ne Si Na Liyaa Tamaam Masti O Tishnaa-Labii Ke Hangaamay Kisi Ne Sang Uthaaya, Kisi Ne Meenaa Liyaa ‘Faraz’ Zulm Hai Itni Khud Aitmaadi Bhi Ke Raat Bhi Thi Andheri, Charaagh Bhi Na Liyaa (Ahmad Faraz)
کتنے عیش اڑاتے ہوں گے .....کتنے اتراتے ہوں گے...... جانے کیسے لوگ وہ ہوں گے جو اسکو بھاتے ہوں گے , یارو کچھ تو حال سناوء اسکی قیامت باھوں کا, وہ جو سمٹتے ہونگے ان میں, وہ تو مر جاتے ہونگے? #جون_ایلیا