she; why do you play video games all day its so unattractive.
me; same reason why you put on makeup everyday,
To escape reality
likhta or shayr is shairi ky.
log kahi shair na samj to len dar jata hu,
wafaa ne kia hy khafa itna saqi.
ki ab sachy pyar se bhi dar jata hu,
kharunch deta hu zakham apny
jb bhi aram ane lgta hy
yaad ane lgti hy unki
jb bhi aram ane lgta hy

Ab faqat ādatoñ kī varzish hai, ruuh shāmil nahīñ shikāyat meñ.
humy dar hy ki hum darna chor na den,
duniya ko jo hum pr hy bharosa wo bharosa torr na den
qayamat hain zalim kī nīchī nigahen
khuda jaane kya ho jo nazren utha le
na rukte hain aansu na thamte hain naale
kaho koī kaise mohabbat chhupa le
kare koi kya gar vo aaen yakayak
nigahon ko roke ki dil ko sanbhale
daba ke qabr men sab chal diye dua na salam
zarā sī der meñ kyā ho gayā zamāne ko
ab aage is men tumhara bhi naam aaega
jo hukm ho to yahin chhor dun fasane ko
'qamar' zara bhi nahin tum ko ḳhauf-e-rusvai
chale ho chandni shab men unhen bulane ko
un kī taraf se tark-e-mulaqat ho gai
ham jis se Dar rahe the wahī baat ho gai
ek hī hādsa to hai aur vo ye ki aaj tak
baat nahīñ kahī ga.ī baat nahīñ sunī ga.ī
ham ko yāroñ ne yaad bhī na rakhā
'jaun' yāroñ ke yaar the ham to
bin tumhāre kabhī nahīñ aa.ī
kyā mirī niiñd bhī tumhārī hai
jo guzārī na jā sakī ham se
ham ne vo zindagī guzārī hai
be-qarārī sī be-qarārī hai
vasl hai aur firāq taarī hai
haiñ bāshinde usī bastī ke ham bhī
so ḳhud par bhī bharosā kyoñ kareñ ham
barahna haiñ sar-e-bāzār to kyā
bhalā andhoñ se parda kyoñ kareñ ham
nahīñ duniyā ko jab parvā hamārī
to phir duniyā kī parvā kyuuñ kareñ ham

dil dukha hy magr tuta to nhi hy
umeed ka daman chuta to nhi hy
submitted by
uploaded by
profile:
Sorry! Ap apne item ya profile ko report nahi kar saktey, na hi apne ap ko block kar saktey hain